...

2 views

DEFINATION OF LOVE /PYAAR
dekha jaye to pyaar sirf couples wala hi nhi hota , ek maa papa ka bete ya beti pe pyaar, ek bhen ka bhai pe pyaar aisa bhi kuch hota hai par haa ye rishta khoon ka ho ye jaroori nhi hai ,pyaar sirf ek tarika hain jis se logo apni bhavna aur care ko dhikhate hai , pyaar sirf jism se kiya jana aisa bolna ek doglala pan hain , pyaar ka sahi meaning hain unki bhavno ka kadhar karna ,unko hamesha khush dekhne ke liye bhagvaan se pratna karna , jinke saath life time bitaa ne ke sapne dekhna ,mere liye ye hota hai pyaar , bas baki logo ki tarha muje kahi aur muhu nhi marana hai , muje bus ek ke saath puri jindgi gujarni hai , (pata nhi kab un se mulakat hogi )pyaar ka ek dusra matalab yeh bhi hai ki kisi aur se apna pyaar compare mat karna kyuki sab ka pyaar dikhane ka tarika alag hota hai , koi sab ke saamne pyaar dikhata hai , aur koi chupke se pyaar karte hai ya bolu to care karte hain, kyuki aise log introvert hote hain .
aaj kal ke log ke liye pyaar ka matalab alag hota hai , inne kaise samjaye ki pyaar jismo ka nhi , ek pavitr atamao ka mel hota hai.
vaise sabhi bolte hai jodiya bhagavan banata hai .to hamhe une bigadne ka hak kisne diya , haa mana kuch rishte thik se nhi chalte ,to talak lelete ho , par jab ye chiz baar baar kane lage to ye to maje ki chiz hai logo ka . har 2 din me shaadi aur har 2 din baad talak ye ho rha hai duniya me . aur ise khete hain log ki Hamra jam nhi rha hai to ham alag ho gaye par bhai kitno se jam nhi rha hai aap logo ka ...
I think me apne kahani se bhar alag kahani me jaarahu koi nhi vapis us par baat karte hai
pyaar ka matalab alag hona nhi hota pyaar ka matalab ek sath rhe kar problems ko solve karna hota hai I think.
par mujhe ye samjh nhi aata aaj kal shaadiya turnt to nhi hoti kuch saal to diya jata hai ek dusre ko jaane ke liye arrange marriages me bhi aur love marriage me to aap log kitne saal date karte ho uske baad shaadi karte ho to phir shaadi ke baad ek bacha hone ke baad aap ko ye realise kaise ho jata hai jisse maine shaadi ki hai o insaan mere layak nhi hai ya mera soch is se alga hai .
ye tha aaj kal ka pyaar , aur ham jaise logon ko chaiye hota hai ki ek ho hamre life me jiski kisshe ham sune aur hamri kahani o sune , din bhar me huye chizo ko har din ham se koi puche , vah mere kaam ko samjhe main uske , koi aisi hi ho jo saath me kamiyab hone ke sapne mere sath dekhe na ki tu pahle kamyab ho jana uske baad mere pass aana kyuki mere kharche bahut hai tujh jaise log nhi smaal payenge , I think ise pyaar nhi bus koi chaiye hota hai jo inke jaroot ko pura kare jaruri nhi hai aise ladkiya hi ho , ladke bhi hote hai par saare ladke - ladkiya nhi hoti aisi , ye to Aaj kal aisa hota hai . par kuch log understanding hote hai o samjhte hain ki relationship dono ke bich me understanding se chalti hain , if uske pass paise nhi ho to dene wali honi chaiye aur kaam hone par uske paise use return karne wala hona chaiye matlab pyaar ka matalab hota hai pure Samay me ek dusro ki help aana na ki une bich raste me chhod ke jaana...

bahut bol liya aaj pyaar par o bhi without any experience 😅😂aur bhi hai par main aap logo ka bore nhi karna chata
note :- ye sirf meri bhavnaye/soch thi aaj kal ke pyaar ko dekh kar , ye kahani ke madham se me kisi ko target nhi kar rha hu bas Jo man me tha use bol rha hu 😅

© VINIT KUDDOR