...

3 views

Part- 7 "Beginning of a war for love"...... Daksh and Dimple- a destined love saga
"Ishq wo hawa hai jo mausam ka rang badal de
Ye wo dua hai jo aansoo aur har gam badal de
Badle hain tewar uske kadmon ki aahat se
Rukh badla hamara, jaana ye hamne zamaane ki sugbugaahat se....."





One day before the session starts:-

Daksh:- Aaj ki iss meeting ka reason hai hamare aane waale freshers ka dhamaakedar welcome. To aap sab apne ideas present kijiye. Then we will choose.

Everyone sitting in the meeting room is awestruck. There is whispering all around.

Daksh:- Koi problem hai kisi ko. There is no need to whisper. Say it directly.


Member 1:- Par sir aap har saal to mana kar dete the ye kehkar ki ye koi mela nahi chal raha hai, yahan ham professionals ko taiyar karte hain.

Member 2:- Aur sir aapne hi to kaha tha, this is wasteful expenditure, never talk about it again.

Member 3:- Aur aapne kaha tha....

Daksh interrupts in between...


Daksh:- Haan kaha tha ye sab mene. Par kisne kaha ki me apna opinion badal nahi sakta. Kahin likha hai aesa? Mujhe lagta hai hamare would-be professionals ki all round development honi chahiye. To unka welcome isi cheej ki taraf hamara pehla kadam hoga.
Do you have any doubts?

Everyone:- No sir.


Daksh:- Great. Now note down certain points. Mr. Bajaj, aap khud oversee karenge freshers ke welcome ki preparations ko.

Bajaj:- I got it sir.


Daksh:-
1) Flowers white aur red roses ke combination me honge (Dimple ko pasand hai, he thinks)

2) Har jagah stars se decoration hogi (meri dimple ko taare pasand hain, he thinks)

3) Har fresher ko ek red rose diya jaayega, to welcome them (aur dimple ko ye rose me doonga, he thinks)

Am I clear?

Everyone:- Yes sir.

Daksh:- Dekh kya rahe hain aap sab. Jaaiye, aaj ka hi waqt hai. Kal welcome karna hai sabka. Just get going.

Everyone leaves.

Next Day:-

At Dimple's home:-

Meenakshi aunty:- Ram, Dimple, jaldi aa jaao kahan reh gaye tum dono. Arre pehle hi din late hona hai kya tum dono ko.

Ram:- Me to aa gaya meenu maa. Dimple hi time lagati hai itna.

Dimple:- Chugli kar rahe ho meri. Aa gayi me Ram ke bache, she rolls her eyes.

Ram:- Sky blue colour tumpe kitna suit karta hai Dimple. Ruko ruko zara kaala tikaa lagwa lo tum. Meenu maa laga do kaala tikaa isko.
Dimple (in her thoughts):- Hehe acha to lagega hi Ram. Daksh ka favourite colour jo hai. She blushes while thinking.

Meenakshi aunty:- (After putting kaala tikaa) Acha ab jaao tum, good luck.


Ram:- Bahar chalo Dimple. Dekho bahar surprise hai.

Dimple runs outside excitedly. She sees his sports bike parked there.


Dimple:- Me nhi jaane waali ispe. Tumne kyu mangvayi ye ghar se. Mujhe darr lagta hai Ram. Aur tum itna speed se chalate ho. Me bus se jaungi, bas baat khatam. Aur jaan mere liye scooty bhi lene waali hai next week, fir usse jaungi.


Ram:- Meenu maa, koi zarurat nhi hai scooty ki. Ye mere saath bike par hi jaayegi. Ek hi jagah jaana hai, alag alag kyun jaayenge. Ab tum nahi chali na to dad ko bolke car mangwa loonga fir muh mat fulaana.


Dimple:- Mere Big B (Ram's father) ko pareshan karne ki zarurat nhi hai. Chal rahi hoon. Kisi din ye tumhaari bike ki wajah se mujhe heart attack aa jaayega.


Ram:- Kuch nahi hoga, darpok kahin ki. Chalo ab. Aur kaske pakadna.

Both leaves for the college saying see you meenu maa, see you jaan.


At DIMT:-

Daksh to self:- Ye Dimple kahan reh gayi. Almost sabhi aa gaye hain. Kahin aesa to nhi ki wo aaj aane hi nahi waali. Saari mehnat par paani fir jaayega.

Suddenly he hears the boom sound of a bike. It was Ram and behind him was his Dimple.


Daksh is mesmerized to see her in sky blue outfit. For a moment he felt as if the time has come to a halt. Everything was moving in a slow motion. Wind too was blowing in a slow motion. He was spellbound on seeing her.


Dimple to herself:- Ye ajeeb Oberoi ko kya hua hai. Ye barf ki tarah kyun jame hue hain. Ohh, Dimple ab Tu inko mr. Oberoi nahi keh sakti. Sir kehke bulaana padega. Kya din aa gaye hain, kahan to inko kaha tha tumhare jeson ke muh ni lagti aur kahan sir bulaana padega. Tragic story. Chalo seh lenge thoda.


Ram:- Kahan khoyi hui ho. Zyada darr laga kya bike pe. Aaj to mene itni tezz bhi nhi chalayi.

Both reach the entrance.

Daksh:- Arre Ram aa gaye tum. Miss Dimple aap zara late hain.

Before Dimple could say anything,

Ram:- Sab galati iski hai. Madam ko bike tez chalaane par darr lagta hai. Dimple se badal ke tumhara naam darpok kar dena chahiye.


Daksh:- It is alright Ram. Darr to kisi ko bhi lag sakta hai. Tum thoda dheere hi chalaya karo, hilly terrain hai.

The welcoming team gave a red 🌹 to Ram.
On the other hand, Daksh presents a red 🌹 to Dimple.

Daksh:- Welcome, miss dimple. (With a soft smile on his face)


Dimple's POV:-
Uss laal gulaab ko dekhkar jese waqt wahin tham gaya tha. Mr. Oberoi ki aankhon me jhaank kar aesa laga jese me unme kho gayi thi. Sab kuch slow motion me chal raha tha. Par aesa kyun? Wo mera daksh thodi na tha.


Ram:- Arre Dimple, ek gulaab hi to hai. Le lo. Kya ghoore jaa rahi ho.

Dimple wakes up from her thoughts.

Dimple:- Thank you Mr. Oberoi, ohh I am sorry. I mean sir. Aaj aapne apne glasses nahi lagaaye?


Daksh:- Tum Mr. Oberoi bulaaogi tab bhi koi problem nahi hai. Rahi baat glasses ki to kisi ne kaha tha mera dil kamzor hai. I thought I should prove her wrong.
Ab to mera dil kamzor nahi lag raha hai na, miss dimple (He winks at her)

Dimple starts to look here and there. Then she collects her thoughts.


Dimple:- Wo sab kehne ke liye I am sorry. Aap glasses me bhi ache lagte hain aur aese bhi. Suit yourself.


Daksh:- As you say, madam. Wese decorations kesi lagi tum dono ko.
Ram:- Waah, bahut sundar hai ye to. Aesa lag raha hai jese sapna ho. Aur aapko pata hai ye stars, white and red rose, ye to Dimple ko bahut pasand hain.


Daksh:- Tum kuch kahogi ya isko bhi gulaab ki tarah ghoorti rahogi.


Dimple:- Badi hi ajeeb si baat hai.

Daksh:- Kya.... Kya kaha tumne. Ye acha nahi laga. Kya gadbad hai isme. Itni mushkil se white rose arrange hue hain aur tum keh rahi ho ajeeb hai.


Dimple:- Arre aap baat to poori sun lijiye. Decoration bahut achi hai. Fairytale jesi. Ajeeb baat isliye hai ki DIMT me aesa to kabhi hote suna nahi. I mean sab kehte hain new chairperson ke aane ke baad ye sab band ho gaya tha. Unhe ye sab pasand nahi. Aur wo to aap hi hain, right. To fir ye sab kese, I mean kyun, I mean ajeeb hai na.


Daksh:- Kyun chairperson patthar hota hai kya ki badal nhi sakta. Ab se sab aese hi hoga. Tum dono office se ID card lo, formalities poori karo aur class me jaao.

Ram and Dimple left for the office.

Daksh makes a call to the office.

Daksh:- Haan Rajeev ji, abhi office me Dimple aur Ram naam ke do students aayenge. Unka kaam pehle kar dena. Aur dhyan rahe unhe pta na chale ki mene kaha hai.

He cuts the call.

At office:-

Dimple:- Ram ham sach me late hain. Kitni lambi line hai, sab tumhari wajah se hua. Tum late uthe.

Rajeev:- Yahan Dimple aur Ram kon hai. Aap idhar aaiye dono.

Dimple:- Yes sir, ham hain.

Both of them enters Rajeev's cabin.

Rajeev:- Ye documents ki copy de do. Fir tumhara ID card issue karta hoon.

Dimple:- Par aapko hamare naam kese pata. Aur hame alag se kyun bulaaya aapne. Sab line me hain abhi hamari turn nahi aayi thi. Ham wapas ja rahe hain. Baaki bacchon ke saath ye unfair hoga. Chalo Ram.

Rajeev:- Ek minute, ruko.
He calls Daksh.

"Sir, ye madam documents nahi de rahi hain. Keh rahi hain abhi hamara number nahi aaya. Baaki bacchon ke saath unfair hoga"

Rajeev to Dimple:- Ye lijiye phone. Zara sir se baat kijiye.

Dimple takes the phone. She says hello, hesitatingly.

Daksh to Dimple:- Tumhara dimaag to theek hai na dimple. Documents kyun nahi de rahi ho. Ek ghanta line me khade rehne ka iraada hai kya.


Dimple:- (In a very low voice, so that nobody could hear) Ye sabke saath galat hoga. Me documents nahi doongi Mr. Oberoi. Samjhe aap. Aur kisne kaha tha aapko ye sab karne ko. I am leaving.

Daksh:- Suit yourself. You are going to regret it.

Dimple:- I see.

Dimple takes Ram away from there after disconnecting the call. Both of them stand in line.

Dimple to herself:- Ye ajeeb oberoi khudko kya samajhta hai. Aaya bada, me regret karoongi, hmm dekhte hain. Kya hi kar lega.

Daksh reaches the office fuming with anger.

Everyone in the office:- Good morning sir. Aap yahan kese.

Dimple is awestruck. She starts looking here and there in order to avoid eye contact with him.

Daksh holds her hand and says, "you left me with no choice, don't say even a single word. You will regret it even more"

Dimple tries to get her hand off his grip, but to no avail.

Daksh to Ram:- Chalo Ram, ya tumhe bhi zabardasti lekar chalna padega.

Everyone is staring at them.

They reach Rajeev's cabin.

Daksh:- Mr. Rajeev, process their documents.

After it was done, Daksh leaves without uttering a single word.

Rajeev:- Madam mene to pehle hi kaha tha aapko. Agar sir ne kuch keh diya to wo patthar ki lakeer hai. Aur itni bhi kya badi baat ho gayi thi. Dekhiye aap do teen din unke saamne mat aana. Unka gussa bada hi bhayankar hai.

Ram and Dimple leaves for the class.

Dimple:- Kya zarurat thi Mr. Oberoi ko aesa karne ki. Ab sab log baatein banayenge. Hai na Ram.
She looks back and Ram was not there.
"Ab ye kahan gaya. Me to jaa rahi hoon class me. Aaj aane do isko, ache se daantungi"

Ram finds Daksh's office. Ram knocks at the door.

Daksh:- Come in. Tum yahan kya kar rahe ho.

Ram:- Listen Daksh, me jaanta hoon tum Ivy International me padhe the. Jo uss din tum itne sawal puch rahe the, me tabhi samajh gaya tha kuch gadbad hai. Stay away from her. Uski zindagi me tum dobara nahi aa sakte. Samjhe.


Daksh laughs and says:- Wow Ram, tumne mere shakk ko sahi saabit kar diya. Dimple ko to nahi bataya hoga tumne, right. Kon uski zindagi me rahega aur kon nahi, ye use taiy karne do. Dost ho, dost ki tarah raho. Samjhe.


Ram:- Itne samajhdaar ho to ye bhi samajh gaye hoge ki wo meri kya lagti hai. Wo sirf meri hai. Mera sab kuch hai wo, I love her. Tum door rehna warna acha nahi hoga.


Daksh:- Hmm, aur uske dil me kon hai. Tum to bilkul nahi ho, right.


Ram:- Shaadi ke baad uske dil me sirf me hi rahoonga, aur shadi karne ke liye ek ki haan bhi kaafi hoti hai. Uski khushi sirf mere saath hai, tumhare saath nahi.

Daksh:- Iska matlab tum nahi ho uske dil me. To fir bacha kon. Uska Daksh, right. Ram ab tum dekho kese meri Dimple sirf meri hogi. You stay away from her. Now get lost.

Ram leaves after this heated argument with daksh.



"Shaadi ke liye bas ek ki haan kaafi hai, Ram ka ye vichaar ek tarah se hamaare samaaj ke ek katu satya ko darshaata hai. Aaj bhi 80% gharon me ladki ki raai puchi hi nahi jaati. Bas baandh dete hain do logon ko ek zabardasti ke bandhan me, jisme na pyaar ho, na aapsi samajh."



Daksh aur Ram ki ladayi me jeet to mohabbat ki hi hogi. Par Dimple to tab bhi haar hi jaayegi na. Aakhirkaar apne dil ke sabse kareebi dost ko jo kho degi wo. Dekhte hain aakhir kitne utaar-chadhaav baaki hai Daksh aur Dimple ki mohabbat ke raaste me......


#DakshDimple

© Gauri_68