...

5 views

untold feelings
Tum naraz ho mujhse , haan ho bhi kyu naa after all maine hurt kiya hai tumhe, galti tumhari nahin thi meri hi rahi hogi but phir bhi main tumhe btana chahiti thi that you are the first feeling of my life. But ab kya hi fayda hai inn baaton ka , kyun ki ab der jo ho gyi hai aur to aur maine toh hurt bhi kar diya hai tumhe . Vaise ab main tumhe manaa bhi nahin sakti na kyu ki tum toh mere ho bhi nahin aur agar main manane ki koshish kar bhi lun to kya tum maanoge nahin aur to aur tumhe aur bhi jyada hurt hoga . But phir bhi yaar!! kya karu main, ab iss dil ko kon samjhaye jo abhi bhi tumhari hi baaten karta hai aur jab mann chahe uth kar tumhari yaadon me kho jata hai . Iska aakhir kya karu main jo aaj bhi tumhari hi gunzaish karta hai.......
© #onlymuskan