...

3 views

GANESH CHATURTHI
Ganpati bappa ko kon nahi janta sukh karta dukh harta humare ganesh ji 1-2 din ke bad ane wale hai.

koi bhi chote se bade se lekar koi bhi kaam ho unka naam lekar ya unki pooja kar ke kaam ki shuruaat ki jati hai.

aur bhagwan ganesh ji se kamana ki jati hai hum jo bhi kaam kare ya kar rhe hai wo subh magal ho.

us kaam me hume sukh sampati samiridhi mile.

humari preshaniyo ko dur karne wale hume sukh samiridhi dane wale ganesh ji hai.

jo param gyaani bhudhimani aur sansaar ke dukho ko dur karne wale ganesh ji hai.

jin hone teeno lok ke chakkar lagane ki vajaye
apne param pujay mata pita ke teen chakkar lagana jayda ucheet samjha.

kyoki unka manna tha ki param pujay mata pita teeno lok se badkar hote hai unka maan samaan karana chaiye.

jase aap sabhi log jante hai Ganesh chaturthi ke sath ganesh ji ki kahani judi hui hai.

ganesh chaturthi se ek din phle mata parvati ji ganesh ji pithavi par parvesh karte hai ganesh ji mata parvati ji ke sath ate hai.

aur phir humare ganpati bappa 10 din pithavi par rahe kar hum sab logo ke dukho ko dur kar hume sukh sampati samiridhi date hai.

ganesh ji ke ane par log badi dhoom dham se unke ane ka swagat karte hai.

jagah jagah par ganesh ji ki murti sasthapit kar unki 10 dino tak pooja arti bhajan kirtan karte hai.

ghar ghar me es din par vishesh tarah ke modak budi ke ladoo aur basen ke ladoo banate hai aur ganesh ji ko bhog lagate hai.

ganesh ji ko modak budi ke ladoo aur baasen ke ladoo bahut ache lagte hai.

aur jab ganesh ji ko vida karne ka samay ata hai tab bhi unki vidaai badi hi dhoom dham se karte hai sabhi log nach kar aur ga kar unko vida karte hai.

aur ganesh ji ko agle varsh phir ane ko kaha jata hai esi pooja vidhi vidhan ke sath ganesh ji ko ganga ji me ya yamuna me virsarjit kiya jata hai.

ganesh ji ke ane par sabhi log unka swagat badi dhoom dham se karte hai.

aur jab unki vidaai ka samay ata hai tbhi sbhi log badi dhoom dham se unko vida karte hai.


ganesh ji ke kai roop hai bal ganesh ji ganpati ji bappa murya ek dant ganesh ji

"GANESH CHATURTHI"

ek vishesh utsav hai

jai shree ganeshay

© reemahayat