...

9 views

khudgarz dunia
aaj subah se bahut preshan hu jab tk likhungi nhi chain nhi milega kio k likh kr hi sakoon milta hai muje. humare paas main ek lady hain jinke husband ki death ho chuki hai aur unki koi aulad nhi wo apne dever devarani aur unke bucho k sth rehte hain aaj achanak unke ghr jna hua bahut ro rahe the wo ghr ka sara kam krte hain wo bta rahe the k buche tk dant dete hai unko man main aya k agr unke khud k buche hote tb bhi unke sth aisa salook hota mujse unka dard dekha na geya ansu tak poshe maine unke gle lagaya uko unko samjaya k aap socha na kro jda main bhi to apki beti hu tb jakr thora shant hue wo bs subah se unka chehra dimag main ghoom raha hai kitni khudgarz ho gayi hai yeh dunia kbhi kbhi devrani yaha tk keh deti hai k unko kya gum kya dard bt unka dard sirf wahi smj skte hain kbhi kbhi bimari main bhi unko km krna prhta hai insan sirf do waqt ki roti ka bhookha nhi hota blk emotional support care aur payar vhi matter krta hai man subah se bahut jda preshan hai smj nhi ata kya kru is liye likhne baith gayi
kio yeh dunia kisi ka dard nhi smjti