"NAARI"
People say women's outfit are inviting, so such crimes take place. But if you take a look into history, Drauapadi's cheer haran took place during Dwapar yug. what was inviting back than?what made Duryodhan do such heinous act? Back there Lord Krishna saved her decorum. Who do you think is saving women in this era? Paanch pati rakhne wali Drauapdi ko vaishya kaha gya, par 100-100 raaniya rakhne wale ko raja. Aisa kyun? Yeh pratha toh yugon se chlti aa rhi hai, par log yeh bhul jate hai ki har yug me yudh hua aur yudh ka parinam hmesa dhrm ke hi paksh me rha hai, aur jb jb adharam ne apni maryada laanghi hai tb tb uska vinaash swayam vishw rachaiyta ne kiya hai. Uss samay bhi yeh cheer haran ruk skta tha agr whan baithe diggajon ne maun na dharan kiya hota. Naari srijan krta hai, Naari swayam me prithvi hai, Naari izzat hai, Naari abhiman hai , Naari agni bhi hai, Naari swayam me vinaash bhi hai.
"Ravan toh fir bhi maryada me tha, iss kaliyug sa ab koi haiwan nahi aayega.
Cheer de seena uska jo tere cheer ko chhuye, Ab koi tere daman ko chir dene koi Krishna nahi aayega.
Uth jaa khud lad ab koi dusra raam nahi aayega. "
"Satya aur dhram pareshaan Ho skte hai par parajay nahi."
~ds