...

7 views

The story of failure to succeess writer ( J.K Rowling ) part - 1
Ye kahani hai ek ladkhi ki jise likhna boht pasand tha jab wo 6 saal ki thi tab usne ek ( Rabbit ) ke uper kahani likhi jise ( pox ) ki bimaari thi . Unse wo kahani apni mom ko sunai or unhe wo boht pasand bhi aayi unhone uski boht tareef ki . Wo ik introvert thi or shy nature ki wajah se uske jyada dost bhi nhi the. isliye wo humesha books or fantasy ki duniya mein jeeti thi. Or ek choti si notebook mein mein apne thought likha karti thi .
15 saal ki umar mein uski daadi ki mrityu ho gyi jinse wo boht pyaar karti thi ,
Woh kehte hain na ( zindagi or bura waqt kabhi akele nhi aate ) Uski daadi ke dihaant ke baad us ladkhi or uske pita ke beech khataas aa gyi . Or uski maa ek brain disease ki wajah se gambheer roop se bimaar ho gyi uski maa ki haalat din ba din kharab hoti jaa rhi thi or kuch dino baad hi unka nidhan ho gya . Us ladkhi ke liye uski maa ka guzar jaana uske liye sabse bada shock tha or woh dheere - dheere depression mein chali gyi . Ek din usne newspaper mein ek advertisement dekha jo ki english teacher ke liye tha ( Portugal ) or usme ik umeed ki kiran jaaki kyunki beh boht dino se naukri ki talash mein thi toh woh padhne ke liye Portugal chali gyi . Wahan ik din restaurant mein uski mulakat ik TV. JOURNALIST se hui , jiske baad unhe ehsaas hua ki unke shauk ek dusre se milte hain or un dono ko hi novelists Austin Jane ki book pasand thi . Unhe ek dusre ke saath time spend karna boht pasand aaya or wo aise hi roz Milne lage or fir 1 saal baad unki shaadi ho gyi , or jaldi hi unki ek beti bhi hui,
Uski zindagi thodi sambhli hi thi ki uski life mein ek dark turn aaya woh domestic violence ki shikaar thi or ek din uske pati ne usse Ghar se nikaal diya.

to be continued.
© adhoore khwab