JARUR PADHE-
Ek ladki thi jo apni maa ke sath rhti thi.
Ek din usne bahut man se apni ma ke liye kuch banaya ,aur jab usne unse wo khane ko kha to unhone mana kar diya ye kehkar ki mujhe ye pasand nahi,aur fir unhone wo nahi khaya.
Usne dusre din khana bnaya aur jab unko dene gyi to unhone kaha ye kaisa khana hai mujhe nahi khana aisa khana.
Us ladki ko bahut hi jyada kharab laga .
PAR kya use kharab lagna chahiye?
Kya use apni ma par gussa karna chahiye?
Nahi!
Aur sabke man me ye padhte waqt ye sawal jarur aaya hoga ki uski maa kaisi hain jo unhone aisa kiya .
To aapko bata dun ki uski maa bilkul uske hi jaisi hain. Ya ye kaho ki ham sabki tarah.
Haa , wo aur ham bhi to aisa hi karte hai jab ma itne pyar se kuch bana kar lati hain , wo ya ham bhi to unhe har roj bolte hain ki mujhe ye nahi khana wo nhi khana, jabki wo kitne ghanton mehnat karke mere liye pyar se bana kar layi hoti hain.
Par hame kya? Haina.
Mother's day par facebook , instagram har jagah ma ke liye badi badi baatien par kya asal zindagi me baith kar socha hai ki unhe kaisa lagta hoga ?
Hmne ek din khana banaya aur unhone aisa kiya to hmko itna kharab lga ,par wo to har roj bnati hai aur har roj ham log kuch na kuch kami btate hain.
Kya isse unko takleef nahi hoti hogi?
Wo hamko nahi bta sakti maa hai na , par kya ham khud nahi samajh sakte?
Social media par "I'm alone"
Likhne se pahle ek baar ma se baat karke to dekho ,unse apni sari batein bta kar to dekho.
Sari takleefein door ho jaegi.
Aur unki takleefien bhi janne ki koshish kariye.
Hamko lagta hai ki yun aise bolna ki ye nhi khana , ya ye acha nhi , ye sab choti batein hain par
Par Yun har roj inn choti choti baton se unka dil kitna dukhta hoga ye kabhi socha hai?
Ek baar sochiye inn sab ke bare me aur samajhiye bhi.
Maa jab tak hai tab tak koi dard aapko hara nahi sakta na hi akela kar sakta hai .
Maa ham sabki taakat hai aur hame bhi unki taakat hi banna chahiye .
Lots of love to every mother.
Note- na hi ye meri kahani thi na hi kisi aur ki .
Bas apni baat kahi hai jo samjhna chaiye har kisi ko.
#mother