...

16 views

Dil ki Batyn: ﷲ ‏، ‏بندہ ‏اور ‏لوگ
Allah Banda Or Log

Kai dafa aisa hota ha k boht gunahgar bakhsh diya jata ha, logun ko di gai takleef bakhsh di jati hn, sitam muaf kr diye jaty hn. Or wohin dusry hath sari zindagi ki naikiyan zaya ho jati hn, or insan sazawar thehrta ha. Main ne dekha ha kai bar aisa hoty. Hum sochty reh jaty hn or Allah ki qudrat soch say balatar Zahir hoti ha. Hum nhi janty k us gunahgar ki kisi aik naiki k badly us ki maghfirat ho gai ho, na kisi pr ye bhaid ayan ha k kisi ka aik gunah us ki akhirat bigar de khwa wo kitna he naik, parsa q na ho. Q k sub Allah or bndy k drmyan rehta ha. Or yahi behtar ha. Q k logun ko mili zuban bareha bari ghlt tohmat b lgati ha, or takleef b pohnchati ha. Wohin log jo nahi janty k kisi bandy ka taalug Allah k sath kesa ha, apny mutabiq Qurani ayat paish krty hn, Ahadis sunaty hn or Ghair Muslim/kafir k liye dua pr fatwa lg jata ha. Jab k ye to sirf insaniyat ka jazba tha, kisi ko merasi ya kafir keh deny ka haq hum myn say kisi ko nahi ha. Ho sakta ha wohi kafir jannat pa le apny kisi achy qadam k badolat. Or hum to reh gye naam k muslman jo apny pe ayi bat to taal dyn gy pr jb bat dusry ki ho to hmyn sub yad ayn gy Farman, Ahadis, Ayat. Socho to agr hmari koi naiki hmara sath na de Allah k samny q k hum say koi aisa gunah sarzad hua ho jis ki muafi na ho. Hum to log hn hmara to kam ha kisi dusry pr qyas araiyan krna or fatwy lgana or jb koi hmary ehtasab ki bat kry to cheekhna, chillana, batyn karna. Hye ye hmary dohry myar. Jb ikhlaq ko sub pe bartari hasil ha to hum kesy kisi anjan shakhs pe qaseedy kas skty hn, usy kafir keh skty hn. Han magar Allah k kam hn, ye Us ki hn bhaid jan lena or kisi pr ayan na krna. Q k Allah behtareen Raazdan ha. Q k kon sa kafir muslim say brh kr or kon say muslim kafir say b neechy ha, ye Allah or bnda janta ha. Ic amal myn logun ka koi dakhal nahi. Behtar to ye ha k Allah or bandy k darmyan k raazon myn dakhal deny ki bjaye khud ki shakhsiyat pe kam kiya jaye. Apny girehban myn jhankyn, khud myn behtari layn or dusron ko un k haal pe chor dyn.

© Maryam174