...

23 views

गुड़िया भाग2
Continuation of part 1


“Tum kehna kya chahte ho?” Seth ji puch baithe..

Chai vaala bataana shuru hua..

“ Main yaha 5 saal se dukaan chala raha hu.. Rashmi bitiya ne tabhi apna naya naya clinic khola tha.. bahut hasta khelta parivaar tha unka..

Rashmi bitiya ki padhayi khatam hone se pehle shadi karva di gayi thi.. par unka pati bahut acha insaan tha.. usne unki padhayi poori karvayi aur yaha tak ki yeh clinic bhi khulva ke diya..

Sab acha chal raha tha.. to ek saal baad unke ghar ek nanhi pari aayi jisko vo pyaar se gudiya bulaate the..

Sabh acha jaa raha tha, aur aise hi do saal beet gaye.. par Rashmi bitiya ki jindagi ne rukh mod liya jab unke pati ki sadak haadse me maut ho gayi...

Tut gayi thi, do mahine tak kisi se baat nahi ki.. par unki beti gudiya ne apne pyar ke moh se Rashmi bitiya ko sadme se nikaal diya..

Phir unki halat sudharne lagi aur phir se bitiya ne clinic aana shuru kar diya.. par ab gudiya ki dekh rekh ki pareshani aa rahi thi.. pehle to unke pati poora saath dete the, ab Rashmi bitiya pe bahut jimedaari pad gayi thi.. isliye vo gudiya ko apne saath clinic hi le aaya karti thi..

Ek din jab sab theek ho chala tha, tab gudiya khidki se latakte hue niche gir gayi... Yahi office ki khidki se.. aur tabhi uski maut ho gayi..

Rashmi bitiya ki jindagi to jaise tabah hi ho gyi thi.. vo to pagal si ho gayi thi ek saal mein hi uska basa basaaya pariwar ujad gaya tha..

Rashmi bitiya khud itni badi manochkistik ho kar kuch na kar payi.. gudiya ki maut ka jimedaar vo khud ko maanti thi...Ki vo us par dhyaan na de payi..

Bahut baar usne apni jaan lene ki koshish ki..aur ek din to vo apne office ki vahi khidki par kudne ke liye khadi ho gayi..

Main yahi se dekh raha tha.. main chillata hua bhaag khada hua ki bitiya ruk jaao..par vo kudne ke liye aage badhti ja rahi thi..

Tabhi use khidki ke paas apni beti ki vo gudiya milli.. jaane us gudiya me aisa kya tha vo vahi ruk gayi.. us gudiya ko vo apni gudiya samajh baithi thi shayad..

Us ko gale lagga kar vo ghanto roti rahi.. shayad us ke andar ka salaab tab phoot gaya tha..

Tab tak us ka pariwaar vaha aa chuka tha aur use samjha kar ghar le gaya..

Ek saal lag gaya Rashmi bitiya ko yeh sachayi jaanane me ki vo gudiya us ki beti nahi thi...

Par ab jaise vo gudiya hi us ka sabh kuch ban gayi hai.. usne apni kamzori ko hi apni taakat bana liya hai.. isliye vo gudiya sada apne saath rakhti hai..

Uska mannana yeh hai ki dusre manochkistik to sirf aap ki baat sun kar aapko slaah de sakte hai.. par vo to unke haalato ko samajh sakti hai kyuki vo khud usi raasto se guzar chuki hai.."

Yeh poori kahani karte hue chai vale ki aankhein bhar aayi aur Seth ji aur manohar bhi bhavuk ho gaye..

Chai vala bola, " Asli manochkistik vahi hai jo aapki man ki bhavnao ko samajh sake.. aur jo khud kabhi mushkilo se nahi guzra vo dusro ko kya sahi slaah dega... Isliye ab Rashmi bitiya ke saare mareez theek ho kar hi jaate hai.."

Yeh sun Seth ji ka haunsla bhi badh gaya.. vo ab tay kar chuke the ki unke bete ka ilaaz ab Dr. Rashmi hi karegi..

Aur unke is faisle ka yeh parinaam hua ki unka beta ab theek hone laga tha.. uski halat ab aage se behtar hone lagi..

Tabhi Seth ji samajh paaye ki dusro ko slaah dena bahut asaan hai par dusro ko samajh kar unhe samjhana vahi kar sakta hai jo khud us raah se guzar chuka ho..