...

29 views

Jeevan ek shangarsh hai, jeetni humko ye Jung hai.
Jeevan ek shangarsh hai, jeetni humko ye Jung hai,
Hum Sab Itne young hai, Baki Sab berang hai,
Jeevan ek shangarsh hai, jeetni humko ye Jung hai,

Duniya ye rangeeli hai, hum sabake liye ye paheli hai,
Na jaane koi,na Jaan payega,
Insaan khokar kya kaamayega,
Jeevan ek shangarsh hai, jeetni humko ye Jung hai,

Na jaane kyun ye hora hai, na jaane kyun ye hota hai,
Insaan hi insaan ko maarkar kyun chain se yha shota hai,
Na jaane kyun hota hai, na jaane ye Kyun hota hai,
Ek roti ke liye insaan , yun din raat mehnat karta hai,
Kuch khokar hi Kuch pata hai,
Na jaane kyun apni hi, kismat se har baar haar jata hai,
Jeevan ek shangarsh hai, jeetni humko ye Jung hai,

Jeevan Ka matalab hi jeena hai, dukh ke aanshuo ko peena hai ,
Sangharsh samaye par krna hai, Bhunke ka pet bharana hai ,
Apne hak ke liye ladna hai, dusro ke dukho ko apna samjna hai ,
Mata pita ki sheva krke , apna Jeevan safal ye krna hai,
Jeevan ek shangarsh hai, jeetni humko ye Jung hai.