...

8 views

Daulat -Ek Maadak.(part 1)
Rohan -umra 12 waras. sawla rang, chotta kad, naak lambi ,gungralle baal.naak mein har samay gussa rahata tha . jo koi bhi usse thoda chirahta uss se lad jaya karta. uska bada bhai Ravi uska biprit bahot hi komal sabhaw ka tha.ravi usse samjaata ki tumhe jyada gussa nahi karna chaiyee , jyada gussa karna sahed ke liye haanikaarak hota hai.par uske kaan mein to jaise royi tussa ho. woh kabhi uske baat ko gambhir hi nahi leta tha. ravi ghar mein apne chotte bhai rohan aur maa (sarita) ke saath rahta tha.
Teen jan ka paalan pusan ke liye ravi mazdoori ka kaam karta tha. rohan chauthi class mein padta tha , par usse zara bhi padai mein mann nahi lagta tha.woh bachpan se hi videsh jana chahta tha taaki dheer saare paisa kama sake.
Aath saal baad rohan jaise -taise karke matric paas hua. result lekar woh apne ghar chala gaya. jab uski maa ko pata chala ki uska beta matric ke exam mein paas ho gaya to usse kushi ka tikana na raha. wah apne bete ko mitai kilai . ravi bhi usse gale lagakar usse mubarakbaad diya.
"abhi tamhara padai pura nahi hua beta, abhi tumhe aur padna hai. tumhe graduate karna hai"-maa samjhaathe hue kahi."maa mujhe ab padaai nahi karni., kyunki mujhe padai karne ka mann nahi karta hai."- rohan ne apni maa se kaha. "par jab tak tum graduate nahi karoge tab tak tumhe achi naukri nahi milegi" 'Ravi rohan ko samjahathe hue kaha'."kitni baar kaho aaplogo se mujhe padai nahi krni to nahi karni . mein dubai jana chahta hu.padai -likai mujhe samaj mein nahi aati. aaplog ke zidd ke karan hi mein kisi tarah matric kar liya wahi kaafi hai .ab ye boj aur bardash nahi kar sakta.
"padai likai ko tu boj kahata hai. yaad rak bina uchya siksha ke dujhe waha bhi koi kaam nahi dega". maa datthe hue kahi.chup -chap se padai karr. kahi jaane ki zaroorat nahi tujhe. sarita chilaathe hue kahati hai.mujhe bahot daulat kamana hai.mujhe amir banna hai.mein ab padai nahi karonga.' maa samjhathe hue apne bete se kahi',.daulat ek maadak samaan hota hai , manushaye ko daulat ke piche kabhi nahi baagna chaiyee .laakh samjhaane ke baad bhi rohan apne jeed par adig raha.
anth mein sarita ko apne bete rohan ki baat manana pada. "kab jaane ki tayaari hai teri" - ,'ravi ne pucha . isse mahine ke 16 ko "rohan ne kah". sarita ne rohan se kaha , tik hai jab tu videsh jaane ka mann bana hi liya to jaane ki tyaari kr lo. do din baad rohan kuch paise leke apni maa aur bade bhai se vidhai liya aur dubai ke liye rawana ho gya......




(next part zald hi aayega. )