...

3 views

Khali waqt
Khali waqt me
Tumhare dupaatte me hath phera karta tha
Dheere dheere karke
Tujhe main bahon me ghera karta tha
Phir tu mujh se ruth jati thi
Aur main apne hathon me tera chehra karta tha
Dheere se Teri aankh khulti thi
Main apne hothon se naam tera bharta tha
Pata nahi Kahan gye woh din
Jab main aisa karta tha
Tu toh ab sath nahi hai
So waqt bhi mere sath nahi hai
Dupaata toh Tera ab bhi mere pass hai
Par woh tere makhmal se gale ka deedar nahi hota
Aankh toh khulti hai meri tujhe dekhne ke liye
Magar kya karun ab in aankhon mein pehle jaisa pyar nahi hota

tum itne dur ja chuke ho
bula bhi nahi sakta
tera intezaar karna hai
so aankhon ko Sula bhi nahi sakta

Aaj bhi badal garaz rahe hai aasman me
Aur ye fizayen tumhara intezar kar rahi hai

Mera dil toh humesha se tumhara hi hai
meri sansein bhi tumse pyar kar rahi hai

tum aaoge jab toh dekh Lena
kitni bechaini se yeh tumhara intezar kar rahi hai

© All Rights Reserved