...

7 views

Bachpan.. ❤️
Bachpan ke vo din kabhi bhule bhulaaye nahi jaate. Mujhe aj bhi yaad hai vo din jab mai choti thi meri didi aur Bhaiya jab Mujhe daat lagate the yaa fir mujhe pareshan karte the to mai apna samaan pack kar kar ghar ke bahar baith jaati thi aur fir mummy jab dekhti to puchti kaha chali sawari to mai ikdam laal mooh se kehti samjhaalo apne bacho ko mujhe keh rahe hai ki mai bahar se aayi hu mai apki bachi nahi hu bas aur nahi rahungi mai yahaa bas itnaa sunkar hi mummy ke chehre par muskaan aajati aur vo kehti are mera bacha ghar se jaa raha aur rahoge kaha. tabhi is baat ka andaza kaha tha ham massumko ko tab to bas jhat se gussa aajata tha vo bachpan ki maasoomiyat kahi kho si jaati hai aur ab to bas kaam ke baad neend hi aajati hai kahani kaha se hi sune....