...

7 views

Jindagi
Jindagi ....... ye to kitna asan lagta hai kahna . magar yahan asan jaisa kuchh bhi nahi . hum yahan aate hai unhi bhagwan ji ki marji se or jaate bhi hai bas unhi bhagwa ji ki marji se . socha to samajh ata hai ki ....... hum kabhi apne liye nahi jeete, kadam- kadam par hamare farj aage aate hain ... unhi ko nibhane ke chakkar main humari puri life beet jati hai .
Bas mujhe lagta hai ki ..... jab tak ek baby apni maa ke godi main rahta hai tabhi tak maje hain, uske bad ki jindagi humare farj hi yad dilati hai .
par jo bhi ho jindagi payari hai........ kabhi dhup -kabhi chav hai .
jab betiyan chhoti hoti hain na .... to unhen koi ehsas nahi hota ki jis jannat main ye ji rahi hain , ye jannat unke sir par kuchh saloon tak rahne wali hai . duniya ki ek rasm esi hai jo ense enki ye jannat chheen leti hai.
jaise jaise badi hoti hain betiyan , sunti rahti hai ki beti paraya dhan hota hai ,magar abhi tak bhi unhen koi ehsas nahi hota ki , sach main etni parai ho jati hain .
sadi ka rista bhi kismat se milta hai , kisi beti ko to dusre maa-papa bhi mil jate hai , to uski khusi or bad jati hai .
magar...... kisi beti ki kismat etni kharab hoti hai ki, wo apne ma-papa se bhi dur ho jati hai , apno se milne ke liye bhi majboor ho jati hai .
ek najar dekhne ke liye apno ko use kai mapnnaten karni padti hain sadi ke bad.

esa nahi hai ki har kisi ka sasural esa hota hai , magar aj bhi bahut ghar ese hain jahan Bahu ko dukhi kiya jata hai , sataya jata hai .
jo pad rahe hain, sabse 🙏 yahi vinti hai ki pls. apni bahu ,bhabhi,ya wife ko bhi apni family ka member ka darja den.. wo bechari apni puri jindagi apke sath rahne ke bharose se aai hai .




© Munni Joshi