...

6 views

Mujhe Kuch Nahi Badalna
#WritcoStoryPrompt117
If you could change one thing about your life, what would it be? Write a story on it.
________________________________________

Ager mujhe koi ek cheez badalni h apni zindgi ki to voh kya hogi.

Kitna khoobsurat khayal h.... kitni hi aisi baatein h jo badalna chati hun... sirf ek se kya fark pdega... hahaha hasi aati h....

koi ek chees kya me vo badlun jo mujhe itna ajize h...
jiske liye duniya idher se udher ho Jaye lekin me wahin rehna pasand krun.. mujhe wahan se kahin or Jana hi nahi h....

Ya kuch aisi cheez jisse Mera itna acha ho ki dukh ka koi namo nishan tak na rhe... aisi cheez bhi hoti h kya....

ya kuch aisa ... ki mujhe kabhi koi bura na hi bole mujhe sahi Galt jo bhi me karun usme koi anter hota h ye bhi kabi gyant ho

ya kuch aisa .... Jo bhi ho raha ho har pal ki khabar phle ho jaye... ekdum aise jaisa ye sawal h ki kuch ek cheez badalne jaisi baat

ji nahi mujhe kuch bhi nahi badalna h apne iss Jevan me mere sath bura hua h acha hua h.. galat hua h ya mene khud kisi ka bura Kiya h ya Mera bura hua ho

lekin jo bhi hua h Maine seekha hi h... samjha bhi h... or agr badlne jaisa kuch hota toh fark kya reh jayga agle hi pal kr koi apni zindgi me kuch na kuch badalna hi chata h

Kisi ko dosh de ke kya hoga.. kisi ko pass rakh ke kya hoga... kisi se nata jod ke kya hoga... kisi ki cah rakhne se kya hoga

Kabhi ye pal agr aa bhi gya toh bhi mujhe kuch nahi badalna... mujhe meri zindagi pasand h Hasti, Gati, Nachti, Roti, Masti,Majak, Ladayi Jhagde, Gussa, seekhna ,samjhna kisi na kis din kuch anubhav hona

bohot kuch h jo abhi bhi seekh rhe h... or agr kuch badal Diya toh na Jane konsi seekh kabhi dekhne ka moka hi na mile....

bs isliye mujhe kuch bhi nahi badalna... na hi koi moka chahiye.... bs aise hi kuch na kuch sekhati rahe ye zindgi... ab mzza bhi isi hsti roti zindgi main h!

© Rana Ji