...

36 views

Meri pehchaan
aaj apne haaton mai best business women ka Award liye mai hazaaro logo ke bich khadi ho kar soch rahi thi ki apni is Success ke liye kise thanku bolu inhe jo aaj muje sune yaha Bethe hue hai ya un logo ko jine kabhi laga hi nahi tha ki mai kuch aesa kar bhi sakti hu .. mere apne
ek chote si gaav ki ladki aaj ke success full businesswoman hai kon believe karta is baat par  aaj se 20 saal pehle .....
suman yehi naam hai mera aur yeh meri kahani hai
*ek din dil mai kayal aaya ki kuy na  ishq kar liya jaaye
fir dil ne socha chod kis aur se kya dil lagaye
kuy na kud se hi kar liya jaaye.....*

kich ke le gai yaadiye muje 20 saal pehle ki duniyan mai
ek chote se parivar ki sab se badi beti thi mai
bahut hi choti si umaar mai ghar ki jimedaariya samjh aane lagi thi muje
wese bahut bade sapne mere bhi nahi the ya yeh bolu ki kabhi socha hi nahi bade sapno ke baarye mai to jaayda sahi hoga ... bas kuch choti choti si khawishe thi zindagi se .. aam si par par ek pyari si zindagi ki
hum teen bhai behan the .. aur mai sab se badi hu apne ghar mai

suman oh suman zara jaldi aa na jab dekho tab tv ke aage hoti ho tum meri maa jin ka bas ek hi makasad tha ki woh muje ek achi bahu kese ban sakte hai bas woh sikha de ...
par kya bas ek achi bahu ya ek achi wife ya ek achi mother banana hi hum aurton ki life ka maksad hota hai
hum khaa hoti hai in sab mai humhari kud ki pehchan khaa gum ho jaati hai in sab mai such bolu to aaj bhi kitni aurton ko yeh baat samjh aai hi nahi hogi ki humhari bhi ek pahachan honi kitni jaruri hai life mai hum sirf ek achi bahu ek achi wife ya sirf ek achi maa hi kuy ban kar rah jaati hai
kuy kud ko kho deti...