...

8 views

Ajnabi
AJNABI. (1)
Aaj fir ek nai subha, Uth kr fir soch raha hun ki akhir zindagi main krna kya hai wese to dukhi nhi hun Haan magar ek adhurapan sa lagta hai, boht soch raha hun kuch krun kuch happening sa wese bhi jab se wo gai hai na kahi jane ka mann hota hai or na kuch krne ka. chlo fir ek nai zindgi ki shuruaat krte hain. Kab takk akhir yun hi boring si life main sadta rahunga yar tu akshay hai tu boht alag hai sab se chal abb kuch kr kuch soch.
Boht sochne ke Baad!!!
Ammm mujhe laga ki mujhe shehar se kahi door jana chahiye, I thik idea Acha hai to fir kar le packing or nikalte hain ek naye safar par.
Agali subha kuch jaghao ko final krne ke Baad main nikal gya apne naye safar se Orr wo bhi bilkul akela.
So main bus main baith gaya boht sukun sa lag raha tha, window seat with headphones, pahado ka bada pyara sa view or Haan mere kuch favorite songs, boht acha sa feel ho raha tha mano kuch acha hone wala ho.
tabhi meri ankh lagi. (usi bitch mujhe ek sapna aya mano jaise wo mere pass baitha karti thi bus me or main bas use dekhta rehta tha pyar se) tabhi achanak se ankh khul gai or main thora dar gya or mere sath wali seat par ek ladki baithi thi, usne mujhe dekha and kaha tum thik ho, koi bura sapna dekha? Fir maine kaha bura nhi tha bas kuch adhura sa tha.and usne mujhe smile karte huye kaha ki Achaaaa. And fir pucha ki wese tum karte kya ho? mne kaha i write and you to usne kaha I'm photographer. Tabhi conductor aya ticket ke liye usne ticket li or bag main rakhi jaha or bhi kafi tickets padi thi fir maine usse kaha ki ek baat puch sakta hu to usne kaha Haa sure mne kaha tum itni tickets kyun rkhti ho? usne kaha main jaha hui jati hun main tickets sambhal leti hun taki mujhe apna har safar yad rahe.
Mere bhi muh se kuch nikal gaya maine Keh diya ki Haa wese me bhi tickets sambhala krta tha magar wo wale Jisme main or meri girlfriend ghume jaya krte the.. To usne haste huye kaha ki are to abhi apni gf ko kaha chor aye.
Maine kaha ki chorda nhi bss choot gai actually ek saal pehle humara break-up ho gya tha so ab hum sath nhi hain...
Usne kaha i'm sorry, maine kaha it's ok.
Fir main window se bahar dekhne lg gya.
Use lga shayad mujhe bura laga ho to usne fir se sorry kaha mne kahaa its ok, and tumhara Naam kya hai? unse kaha diya mne kaha Acha Nam hai ye hi sawal usne bhi kiya.
Tabhi usne kaha ki to tum abhi takk Single hi ho mne kaha han pr kyun usne kaha bas aise hi single rehna galat baat hai kya usne hste huye kaha naaah Achaaa hai.
Even me single hi hu and happy too.
Kafi der takk batain bas yun hi chalti rahi or dekhte hi dekhte safar kab khatam ho gya kuch pata hi nhi chala...
Fir jate huye usne kaha oo Mr. Writer apna no. Chaho to de sakte ho maine use apna number diya
Fir hum apni apni manzil ki or chal pade.
Kafi din ho gye the or uska koi msg ya call nhi aya or pata nhi main kyun roz uske call krne ya msg karne ka intezaar krta rehta tha wo Insaan jo duniyaa se door raha karta tha kisi se baat nhi kiya krta tha aaj wo kisi ke msg ka wait kar raha tha..
Inn sab baton ko kafi tine hone ko tha or ek sham kisi unknown number se call I koi Jani pehchani awaz mere kano par padi usne kaha Mr. Writer kese hain ap or uski aawaz sun kr mujhe boht sukun kila mano jaise isi awaz ka intezaar tha.
Maine muskura kar kaha boht Waqt laga diya, usne kaha Waqt Sirf Iss liye lagay kyunki main janna chahti thi ki tumhe meri call ka intezaar hoga bhi ya nhi maine kaha tumhe kese pata ki main Intezar kr raha hun usne kaha pata to nhi tha Haa magar abb pata chal gya ki Intezar to tha..
Fir hum har roz baat karne lage har roz.
Usse baat kar ke aisa lagta tha mano jo bhi kuch zindagi main choot gya tha wo mujhe wapis mil raha hai boht sukun tha usse baat karne main.
dhire dhire wo boht kareeb ane lga gai thi mere.fir achnak se wo huaa jo shayad hona hi tha ek din usne kaha akshay me tumse pyar karne lagi hun, tumhara sath Acha lagta hai tumahare sath Waqt boht jaldi beet jata hai bas itna hi kehna hai ki tum mujhe ache lagte ho.
Sach kahun to ye sab sun kar mujhe boht acha laga boht sukun sa mila Mano kisi ne boht khubsurat sa tohfa de diya mujhe.
Magar fir jab maine pyar ke bare me socha to me ekdam se sehm gaya darr gya uss Waqt mera bita huaa Kal mere samne ane laga or Maine use kuch nhi kaha bas kaha ki main tumse kuch der baad baat krta hun or bas itna Keh ke maine phone Kaat diya.
Apne kamre me jaakar me sochne lga ki akhir abb me kya karun kuch samajh nhi Aa raha tha kyunki beeti hui baton ke zakham boht gehre the or Iss baar me iske liye taiyar nhi tha.
Fir maine soch liya ki me use Keh dunga ki hum ab or baat nhi kr sakte.
magar ye Kehne ki himmat nahi thi mujh me main uska dil dukha nhi sakta tha.
Kyunki main Iss Dard se boht wakiv tha ye sab sochte sochte meri ankhain bhar aai or Mein phoot phoot kr rone lga. Apne uss andhre kamre ke kone me.
Fir tabhi achnak se diya ki call aai mujh me himmat nhi thi ki uss se baat karun magar fir bhi maine call uthai, usne kaha akshay tum thik ho na, mne kaha ha main thik hu usne kaha tumhari Awaaz se to aisa nhi lag raha bas kro ab rona band kro or meri baat suno, mne jo bhi sab kaha wo tumhara jawab janne ke liye nahi kaha bas jo dil me tha bas wahi kaha tumhe chinta krne ki koi zaroorat nhi hai ok Mr. Writer Hehe. Or usne kaha haaan mujhe lagta hai ki humain abb or baat nhi karni chahiye haina maine tabb bhi kuch nhi kaha bas ek jhtka sa laga ye baat sun kr usne kaha tumhare sath bita mera sara Waqt boht acha tha main tumhe humesha yad karungi par Haa magr jane se pehle ek promise cahati hun tumse bolo kroge na maine kaha Hann krunga bilkul tum kaho to.
To usne kaha wada kro aaaj ke baat tum koshish kroge ge ki tum apna past bhula doge or zindagi main age badh jaoge maine kaha Haan main wada krta hun. Or bas itna Keh kr usne bye tc Keh Kar phone Kaat diya.
Wo phone Kaat kar boht roi boht magar usne ye baat sabit kar di thi ki akhir pyar ki kya defination hoti hai..
(kuch mahino baad)
Main abb apni life main khush tha or abb kafi age badh chuka tha.
Ye sab Sirf Diya ki wejha se.
Or wahan diya bhi ek naye safar ki taraf nikal gai thi Iss duniya ko apni tasviron main ked karne ke liye.....!!!!
@aksh