...

5 views

umeed ki kiran
hum apni roz ki life me etane buzy hai apni job ke liye har roz jaldi uth kar jana apne college ki class ke liye ya kisi na kisi kaam ke liye hum roz mehnat karte hai hume apne bare me etna sochne ka time nahi hota hai ki hum aise logo ke bare me sochna bhul jate hai jo hum jaise hi hai par unke rhne ka tarika thoda alag hai me un Beshahara garib logo ki bat kar rhi ho jo garib zindagi me rhe kar apna gujara kar rhe hai jab bhi hum chote chote bacho ladkiyo ko jagha jagha bheek late dekhte hai toh humare man me unke liye yehi soch hoti hai kash enke parents hote enko aise bheek nahi magni padti ya ye ladki age etni study karti kisi par depend nahi hoti independence apni life jeeti jaha hum sabke liye kanoon aur adhikaar samaan hai wahi en garib logo ke liye kanoon aur adhikaar samaan nahi hai ye log har pal apni zindagi ko aise jeete hai ki ek na ek din umeed ki kiran jarur dikhegi kabhi na kabhi enki bhi zindagi mei sukh chain aur khushiya ayegi esi umeed ke sath ye log jee rhe hai humare desh ko azaad huye etne saal ho haye hai par abhi bhi en logo ko apni garibi zindagi se azaadi nahi mili hai.

meri ye story yahi batane ke liye thi agar hum apna thoda sa bhi waqt nikal kar humara jo waqt hota hai wo bahut kimati hota hai jaise ek kohinoor ka heera hota hai en garib logo ko thodi si khusi de kar unki thodi si help kar ke hum N.G.O me kuch money donate kar ya unke sath time spent kar ke bhi hum unko kuch khushiya de sakte hai jaha hum mandiro or sadhu sato ko daan dete hai wahi agar en logo ko khana khilaye ya unki koi bhi help kar sake wo hi sab se bada daan upkaar hota hai....
© reemahayat