...

12 views

Adhura ikrar
Thodi khushi thodi ghabrahat dono thi mere mann mein .Kal milna hai use iss khayal mein dubi thi .Kaise najre milaungi ,kaise bataungi ?Sare sawalo se mera mann bechain tha .Har pal vishwas dilati apne mann ko ,'Hoga wahi Jo manjur hai khudo ko' yeh yaad kr mann mein chal rhi halchal ko shant krne ki koshish krti.Yeh woh pankti hai Jo mere dil ko bahut lubhati hai,naa Jane aisa kya hai isss pankti mein jise yaadkr mera mann isthir ho jata hai .
Thandi thandi hawaye chal rhi thi mano mujhse kal rhi hai ,'hame bhi kal Ka itnezar hai' .Raat kat nhi rhi thi ,aisa lag rha tha mano kise ne samaye ka pahiya rok diya ho. Jaise -taise sone ki koshish ki .Savere uthakr phele khayal unka hi aaya, favourite colour ki dress almari mein khojane lagi. Kuchh hapte phele hi baato baato mein unka pasandida colour maine jo puch liya tha.Main ready hokr intezar krne lagi .Tabhi achanak meri najre samachar pe padi.Sunkr udasi chaa gyi mere mann k andhar .Gussa,nirsha ,mayusi ,hairani......sari bhavnao se mera mann bhar gya tha.
Nakabandhi ki samachar sunkr mai kuchh keh na paayi or roo padi. ISS waqt ka intezar do saalo se kiya tha .Mera ikrara adhura rh gya iss khayalo mein mera mann dhoob gya .