...

2 views

Tuti Shadi
nidhi ki shadi ko abhi ek saal bhi pura nhi hua tha ki uska pati usse chod kr chala gya, kisi dusri aurat ke pass, nidhi ne phir bhi socha ki wo apne sasural rhe shayd uska pati laut aaye par aisa nhi hua uske sasural walo ne bhi usse support nhi kiya nidhi ke pita nidhi ko ghar le aaye, nidhi sara din yhi sochti rehti uski kya galti thi, uske pati ne aisa kyu kiya uske sath, pr kisi bhi swal ka koi jwab nhi mila, usne usse call krne ki bahut koshish ki pr uske pati ka phone hamesha switchoff hi aaya, usne haar, wo thak gyi call krte krte ant main usne haar man li, or usne usse call krna band kr diya,
yeh sab nidhi ke dukho ki shurvat thi, nidhi ke gharwale usse usse aise dekhte aise treat krte Mano sari galti uski ho, nidhi ghar ka sara kaam krti kabhi kisi ko kisi kaam ke liye mna bhi nhi krti, aaj jo bhi uske sath hua yeh sab uske sath uske papa ki wjah se hua tha kyunki nidhi ko uska pati anad pasand hi nhi tha, kyunki na wo padha likhs tha na koi kaam krta tha, yeh sab batein janne ke baad koi ladki kaise khushi khushi shadi ke liye haan krti thi, uske papa ne zabrdasti uski shadi anad se krva di, nidhi ne nibhane main koi kasr nhi chodi shadi ke baad nidhi ko pta chala ki uska pati sharab pita hai, or uske sasural walo ko paiso ka lalach hai har baar wo log usse paise hi mangte rehte, uska pati khi bhi jata to nidhi se paise leksr jata nidhi kabhi mna bhi nhi krti thi, ek din nidhi kp pta chla ki uske pati ka affair ek nhi bahut sari ladkiyo se hai wo bhi usne seh liya, or kya krti nibhane ke liye, phir bhi sab usi ko kasur war dhera rhe the, nidhi ki zindagi kya se kya ho gyi nidhi kya kre nidhi ko kuch samjh nhi aa rha tha,
usne sapne main bhi nhi sochs tha uske sath kabhi yeh sab hoga, nidhi bahut simple ladki thi, innocent, caring nature wali, koi sapne main bhi yeh nhi soch sakta tha ki uske sath yeh sab ho sakta tha, jitna nidhi apni shadi tutne se dhuki or pareshan thi utni hi is baat se ki kal tak jo gharwale us par jaan chidkate the un logo ko nidhi ke dukh se koi farq hi nhi padta tha, kisi ne bhi nidhi ke sar pr hath rakh kar yeh nhi kha ki ek din sab thik ho jayega hum hai, wo bs akeli baith kr roti rehti thi, ek swal usse baar baar pareshan krta tha kya shadi tutne ka bhoj or dard sirf ek ladki ko uthana hota hai, nidhi ke samne bahut sare swal the, jinke jawab usse talashne the, pr usse bhi badi baat usse apne kal ke baare main sochna tha isliye nidhi ne aage badne ke baare main sochna tha, isliye nidhi ne job krne ki soch li or uski koshish rang layi or usse bahut achi job mil gyi dhere dhere wo zindagi main aage badne lgi,
wo apni zindagi main ab khush rehne lgi thi, apne kaam se wo bahut khush thi usse zindagi ne mano phir se moka diya tha, par ab rishto pr se uska bhrosa uth gya tha, uske dil main kisi rishtey ke liye koi jgh nhi bachi thi, pr usne kabhi kuch zahir nhi kiya, achnak se ek din uska pati,or uske sasural wale uske ghar aaye usse mafi mangne or usse lene or nidhi ke gharwale mann bhi gye, sab ne nidhi ko sochne ke liye kha, nidhi ke andr Bahut gussa tha, nidhi sochne lgi kaise log hai yeh sab, usne itne mahino main kya kuch face nhi kiya, kitni ajeeb or swal bhari nazro ka usse samna krna pda,
pr nidhi ne ab faisla kr liya tha ki usse kya krna hsi is baar nidhi ne kisi ke baare main nhi khud ke baare main socha, or usne kha ki wo is rishtey ab nhi rehna chahti, kal wo usse chod kr gya tha ab kis haq se wapis aana chahta hai, wo koi mom ki gudiya nhi hai wo insan hai, or uske andr bhi dil hai, uske atmsamn ko jo dhes paunchi hai wo wapis nhi kr sakta, nidhi ne anad se bs ek swal pucha jo anad ne uske sath kiya agr wo anad ke sath krti to kya anad use maff krke accept kr lets wapis, usse zindagi main dubra jgah de deta, nidhi ki yeh battein sun kar anad or baki sab hakke bakke reh gye ki ghabri hui si shant nidhi bolna bhi janti hai, anad wha se chup chap chla gya, nidhi ke gharwalo ko bhi unki glati ka ehsas ho gya tha, pr nidhi ne apna ghar chod kr Jane ka faisla le liya tha, nidhi ne apne office ke pass hi pg main rehne ka decision le liya tha. Aaj nidhi ek kamzor ghabri hui ladki nhi balki ek strong women ban chuki thi, zindagi main khi baar kathor faisle lene padte hai, tabhi zindagi ko khul ke jiya ja sakta hai.



© neha sharma