...

4 views

Majboor Meerah ki mehfooz mohabbat
ajj unse koi bat na ho payegi
ajj woh chehra nahi dekh payenge
ajj woh hath nahi badenge meri aur
ajj mere balo ko koi nai sehlayega
mere gal aur ankhe is sparsh ko yaad karte ashru mein tair rahe honge..

woh waha masoom man se
is dard ke baad se anjaan. astha me lean bathe honge...
hum gham ke Pani mein gothe kha rahe hong...
unke Bina ek bhi din man ko abb nahi rehne ki adat na hi himmat.
ajj kewal ruhaani ehsas hoga humare hisse

ishwar sab jagah hai
aur har jagah hai bhakti,

woh ishwar ki bhakti ko apne saans aur jeevan ka ek hissa mante hain
unke liye riwayete aur riwaz mein pran hai. prathishta hai prerna hai rasta hai ..ghumshuds man ko Bator ne ko kshamta hai unke Maun me
unke Maun Vrat me unko samadhan hai. Shakti hai. sneh hai ki

Asthaa unki ek pathar me bhi prakash dal de itni sachi aur masoom hai
woh ankh moond ke lean hote hain Prabhu ki sharan me. unhe unke dev dikhte hai. unse woh bat karte hai.
unka man padh pe unke Kano me sahas aur dhariya bhar dete hain...

ek pratha jo , Kai varsho pehle ek sankalp se prarambh hue thi ajj woh ek astha ka prateek hai unke liye

ek sankalp jiska parinaam bohot salon tak unke man ko Shanti Dene me kamyab raha

unka maun vrat unke liye bhawa Purna raha.
ek din Surya Uday se leke neend ki god me sar rakhne Tak woh apni beeti batein beete jeewan aur beeti hue varsh ko bhas lete
is pratha se unke parivar ko ,unko, labh hi tha akhir ek.hi toh din tha ..

jeevan badla. Kai naye raste Jude. naye rishte Bane

ek din ek aise pal aya jis din se jeevan ko Rukh badal gai
ek aise Atma ka pravesh hua jisne
jeevan ki dhwani badal di
bohot kuch alag kar Diya woh thi unko priyasi meerah
woh ek aisa bandhan bana jisse man aur shareer ek sath bus bandh gaye


meerah behad chanchal ,bedhak, bebaak ek dum anokhi thi
usko bohot sare shabdo mein bat karne ki adat unki apne Umar se bohot bhinn hone ki sachai. kheech ke ayi pass bohot pass ..
uski batein uske soch sab mein Vivek aur bodh Raha. usne ate hi apne pair ke neeshan unke jeevan pe man jama liye.

sari bhinnatao ke bawajood dono ko pyar hua.
meerah ka pyar kab vastavikta se kalpanoe me chala Gaya yeh use bhi nahi pata chala
dekh te dekhte meerah har waqt sirf unko hi yaad karti mano sari duniya hoke bhi woh kisi ki na ho payi
man se shareer se saanso se har samay ek hi naam

Meerah, bhi pyari thi unko behad , dil se ek bejod rishta bana unka Meerah se.. woh usko apna sab kuch mante the...

man me hamesha Meera hi meerah rahi. lekin fir bhi kabhi kabhi door rahe .
kabhi nahi bayan kiya ki woh kaise Ishq ne zeher ka ghut pe gaye the
kaise unhone samjhota kar liya ki yeh pyar kabhi unko milnahi sakta. toh kabhi unhone usi icha nahi rakhi

meera ke pyar me itne rang the , itne vividhtaye thi ... itni sare roop the ki koi ek roop ko samjhte woh jab tak Meerah ka ek Naya roop dekhte
sab me anokha pan tha
sab me bohot pyar tha
kuch me dar bhi tha
kuch mein bedardi bhi Dekhi

batein woh itni saari karti. ki unko sunte sunte kab din ka ek saal ho gaya yeh dono ko nahi pata chala
meerah sari din raaat batein kar sakti.
lekin woh Kam.alfazo ke the
kabhi nahi ojhal hoti uski awaz inko Kano se
na woh meerah ko sunnke thakte
na unki khamoshi se woh thaki..

Roz subah shyam unse batein karti apni har saans ke lene ka vivaran deti

unse sunti ki kaise Bina meerah unka man bechain rahta hai

kaise ek shabdo se lachar insaan ko meerah ne awaz di alfas diye
, bulandi di
yeh silsilA chala dono ek dusrr ke baigair adhure se pran heen hue

do adhure man
do adhure Dil

dard aur dawa ka unka silsila yuhi guzara jab unke sal me do din purnataha
MAUN rehne ki sankalpana ne. meera ka man vichilit ho utha

meerah ke man mein unke khayal har waqt rehta
kahi bhi unke baigair man meerah ka chatpata
ek.din meerah bohot bhari man se puchi kaisa laga apko apka.pichala main vrat
meerah ki umeed thi ki jaisa uska man khali tha din Khali tha man udas tha. sab adhura tha unko abhi Aisa hi raha hoga

unhone kaha unka din peaceful tha
woh sunke Meera ka man ek hi pal me hazar tukdo me toot ke mano bikhar hi Gaya uske pairo tale zameen khesak gai
unhone bohot samjhaya meerah ko kya unke bhavna ka matlab tha
par meerah ka ek bohot bada Dil ka.hissa us din toot gaya....
man me yeh soch ke ki
jisse se woh itna Jaan Laga chuki thi usko yeh pata hote hue bhi ki .usko itna chah ne wala.ek.insaan uske nirnay se uske bhavna se dukhi hai

.meerah ki mohabbat mayus hogai
jeete hue insan ke age ek bar kisi ne ek vishwas ko ek kalpana ko manna sahi samjha

wah re khuda
logo se tu hi milata hai
bandagi bhi tu hi karaye
fir.jab dekha Tere se jyada koi mujhse pyar kare to tune mujhse mere mehboob hi cheen liya



broken belief







© Piaa