...

22 views

Ehsaas ka hona bohut zaroori hai...
Humara ehsaas hume zindagi ke her mod per khaas banaata hai, agar Humare under ye na ho to hum kisi ke pyaar aur lagao ko samajh nahi sakte. Baat un dino ki hai ki jub mai ek convent school mai padha kerta tha, school mai co-education system tha to girls se hasi mazaaq ek aam baat thi. Mairi class mai subhi se achchi dosti thi lekin unme ek girl ja behave maire saath sahi nahi tha, shuru mai wo maire se achche se baat kerti thi lekin kuch waqt guzarne ke baad usko mairi her aadat per ghussa aata tha. Usko sub kilsu, attitude waali kehte the aur ye baat mujhe bhi mehsoos hone lagi thi, waise padhai mai wo bohut hoshiyaar aur humesha apni class ki topper raha kerti thi.E din mujhe tez fever ho gaya to mai class attend nahi ker saka. Jub tabiyat sahi hui to class attend ki, dosto'n se baat ki to pata chala ki bohut saare chapters padhaye ja chuke the aur maira bohut saara homework choot chuka tha, maine kisi tarha apna kaam poora kiya. Zyadater chapters padhaye jaane ke baad teachers ne students padhaye gaye chapters revise kerne ki baat poochi to us ladki ne subse pehle haath khada kiya aur teachers se kaha ki course revise zaroor karaye. Mujhe uski ye baad isliye ajeeb lagi ki itni brilliant student hone ke baad wo course revise kerne ko leker itna zor kyu de rahi thi lekin phir maine socha ki ye to kilsu hai hi iske baare mai sochker kyu waqt bekaar kiya jaye. Hum sub teacher ke class mai aane se pehle khoob hasi-mazaaq kerte the lekin humari ye herkat bhi us ladki ko buri lagti thi aur kisi ko kuch na kehker teacher se sirf mairi hi shikaayat kerti thi aur teacher mujhe humesha ki tarha punish kerti thi, is tarha wo mairi dushman number one ban chuki thi. jaise jaise waqt guzarta gaya uske liye mairi dil mai nafrat badhti gai. Humare school mai her month parents meeting hoti thi aur us ladki ke parents bhi meeting mai aate the, is baar maine apna poora man bana rakha tha ki is kilsu ki mother se iski shikaayat karunga aur aisa hi hua. Jis din parents meeting khatam hui maine uski mother ko namaste kiya aur unse unki ladki ke baare mai saari baat batai aur kaha ki wo class mai subse zyada mujhse hi nafrat kerti hai. Mairi saari baat sunne ke baad wo muskurai aur unhone mujhe apni ladki ke baare mai bataya ki wo bachpan se aisi hi hai chahe koi insaan ho ya koi cheez wo jisko pasand kerti agar usko dusre bhi pasand kare'n to usko under hi under bohut ghussa aa jata hai aur us ghusse mai bhi wo us insaan ka khayaal rakhti hai lekin usko zaahir nahi hone deti. Aunty ne mujhe bataya ki jis din mujhe fever tha to usne church mai daily prayer ki aur father se bhi prayer kerne ko kaha. Ye sub sunker mai apne aansu rok nahi paya aur apne aapko bohut bura insaan samajhne laga. Us din mujhe ek baat realise hui ki kisi ko samajhne ke liye humare under us ehsaas ka hona bohut zaroori hai ki jis ehsaas ke saath wo insaan sochta aur baat kerta hai, hume uske saath time spend kerna chahiye aur uske thoughts ko jaanna bhi bohut zaroori hai.
© Zafar