...

3 views

shihayi (Episode- 2)
Nakab hai yeah asli chehera


Aayansh ke jane ke bad bhi sheetal, uski unn neeli ankhon mein khoyi rahi, usse tab hosh aaya jab bahar bohot zor se tufan Utah aur tufan ki wajah se ward ki khidki Jor se band hui. Sheetal ne unn khidkioo ko dekha aur bed se niche utri, apne paayon mein usse dard mehesus ho raha tha , per wo beparwah ho kar unn khidkioo ke pass chali gayi, khidkioo ko band karne ke bajay usne unhe aur acche se khol ker lock kar diya taki usse acche se bahar dikh sake, bahar ke tufan se kayi zyada tufan toh uske ander chal rahi thi . kuch der bad tufan tham gaya aur sayad bahar wale tufan ko dekh ne se sheetal ke andar chal raha tufan bhi ab shant ho chuka tha .Wo wapas bed per aagayi.

Dusri taraph ,Aayansh hospital se nikal ke ghar aa chuka tha .wo laptop khol ke kisi email ka besabri se intazr kar raha tha , yahi kuch 2,3 ke bad ek email uske laptop per aaya, usne jaldi se email ko khola. email mein sheetal ki details thi .


Central Jail report Organisation

Supect name - Sheetal Iyar
Age - 25 , DOB - (Unknown), Gender- female
Adopted by - Rohit Iyer & Sanjana Iyer
Biological Parents - Arun Chuhan & Sudha Shing Chuhan
Stepmother- Sarika Chuhan, Stepsister-Rusha Chuhan


Sheetal Iyer is suspected for Her Stepsister's boyfriend Rahul Roy's murder. ..............


.................... ...................
..... . ....... . ..... submitted by S.roy




details perh ker Aayansh ki ankhe gehri ho gayi.
- Unknown date of birth?
phir Aayansh ne apne phone se hospital staff ko call kia. staff se
- Miss sheetal Iyer Jis doctor ke under hai unse meri call connect Karo, staff ne turant uski call connect kar di opposite site se awaz aayi
- Vayu Oberoi speaking, who is there ?
- Officer Aayansh Sinha Crime Branch.
-How can I help you ?
- yahi kuch 3 ghante pehele ek nayi patient admit hui hai aapke under, sirf do din ke liye ,in do dino mein uske saari information mujhe chahiye.
- Bat toh thik hai per iske liye mujhe mayor aur kernel sahab ka permission letter chahiye. Aayse hi kisi patient ki private details mein apko nhi de sakta .
- Thik hai mil jayenga
Aayansh ne call cut kar diya .
unse kisi ko call kiya ,kuch instructions diye .
Uske kuch hi minute bad Vayu ko permission letter send ho gaya .
Permission letter mil te hi wo hospital ke liye nikal gaya
Vayu oberoi Mediplam Hospital ka senior doctor tha .Hospital ke youngest doctor hone ki wajah se new interns aur young nurses use bohot zyada pasand karti thi .
Hospital pohoch te hi usne reception se Sheetal ke ward ka pata kia aur ward ke samne akke ruk gaya .kesi ajib se bechaini ne use gher rakha tha . Wo thora dar bhi raha tha .Pehele wo kabhi kisi
murder suspect se ayse nhi mila tha. Jo bhi ho faltu ke khayal apne dimag se jhatak ke usne dhire se ward ka darwaza kola , andar bohot andhera tha use kuch dikai nhi de raha tha shaam ho chali thi . khidkioo ke halki roshni mein wo bed ke pass aaya , aur bedside dim light on kar diya. Dim light ki halki roshni mein uski ankhe sheetal ke masum se chehere per jaake ruk gayi. sawla rang peach colour ke lips, badi badi palke. uss chehere ko dekh ker ek pal ko uski duniya tham gayi mano, usse lagne laga ki yeah masum si ladki ek murder suspect kese ho sakti hai . Per wo jaldi hi khud ko control ker ke khud se bola Vayu focus Gulab mein bhi kaate hote hain .
-Aaysa bhi toh ho sakta hai ki yeah uss ladki ka nakabi chehera ho
Akhir uski mom bhi aysi hi thi .
- kher mujhe isse kya, chahein Isska chehera nakabi ho ya asli

.