...

3 views

waldain ek khoobsurat hasti:
Maa baap jab bhude hojatey hain tou unko,
har baat ek mehsoos hoti hai,
lehjay, rawwiyye, nazre, baatein,
isliye koshish ho ke,
unke sath husne sulook ka rawaiyya rakha jaye,
Maa baap jaisi hasti kahin duniya mein nhi milegi,
waqt ka koi bahana hi nhi hona chahiye,
balke waqt ko hi unke mutabiq set kiya jata hai,
unke liye waqt nikala jata hai,
unko waqt dene ke liye,
unke sath khushi ke pal guzarne ke liye,
unki qadro qeemat ka ehsaas dilaya jata hai,
Qur'an mein Allah ne farma raha hai,
ke uff tak na kaho apne waldein ko,
husne sulook se pesh aon unke sath,
kyu ke jab Aap choty thy,
kiya kabhi unhone apko akela chora,
Aap bemar hoty tou,
khidmat kartey wo,
araam pohncha tey,
us waqt Allah ki wo rehmat Hotey hain,
jo is duniya mein Allah ne hamare liye ye itna khoobsurat rishta bnaya hota hai,
tou ab Aapki bari hai,(now its your turn)
ke Aap unko waqt kis tarha dete hain,
waldein ki khidmat mein kitna waqt guzartey hain,
unki zaroorto khayal kaise rakhtey hain,
unko mayus tou nhi kartey,
unke chere par Aap khushi kaise saja tey hain,
ya unko old house ki nazar kardete hain,
jin Parents ne sari zindagi apki tarbiyat karne mein laga di parha likha kar qabil bnaya,
aksar waqiyaat dekhne suney mein atey hain,
apne parents ko old house mein chorh dete hain🥺😥main ye sochti hun kiya unke dil pathar ke hotey hain jo apney masoom parents ko old house mein chorh kar chaly jaatey hain😔
kitni asani se apne un parents ko chorh kar chaley jaatey hai,
aur khush naseeb tou wo log hai jo apne parents ki care kartey hain unki zaroorto ka khayal rakhtey hai,
unko nazar andaz nhi kartey,
adab kartey hain,
jab wo kamzor hojatey hain tou apna farz nibatey hai unko zaroorat ho aapki jab tou aap unke sath mujood ho,
"ALLAH PAK Qur'an Majeed mein farmarahy hain,"
Surah: Al-Israa mein
(Ayat)verse: 23
Aur tumhare parwardigaar ne irshaad farmaya hai
ke iske siwa kisi ki ibadat na karo
aur Maa baap ke sath bhalaii kartey raho -
agar inmein se ek ya dono tumhare saamne bhudhapey ko pohnch jayen
tou unko "UFF tak na kehna
aur na inhein jhirakna
aur unsay baat adab ke sath karna
aur jaisa ke agli (Ayat) verse:24
mein farmaya hai
aur ajzo niyaaz se
inke agay jhukey raho
aur inke haq mein dua karo
ke aye parwardigaar
jaisa inhone mujhe bachpan mein
(shafqat se)
parwarish kiya hai
tu bhi un(ke haal) par rehem farma
Allah paak tou Maa Baap ke sath aisa sulook karne ka hukm derahy hain,
aur yaha Yaha dono nhi tou ek Maa ho wo sambhal nhi patey log,
jis Maa itne beton ko sambhala,
ab unsay ek Maa nhi sambhali jaarahi,
ek waqiya jisay sun kar meri ankhein nam hogayi,🥺😢
wo ek Maa jo bemaar bhi thi,
aur bohat zayeef bhi thi,
wo apney ek bete ke sath rehti thi,
betey ki wife aur bachy bhi they,
wo bechari khamoosh pari rehti,
unko us beemaari mein takleef hoti tou wo,
kuch btati bhi nhi thi,
aur khamooshi se apna waqt guzar rahi thi,
raat ko jab unhay washroom jana hota tou,
kisi ko awaz bhi nhi deti,
beta bhi office se akar sojata tha,
maa ko dekhta tak nhi tha,
ke wo kis haal mein hai,
par Maa tou Maa hoti hai na,
usmein job, aur busy hone ke koi excuse hone hi nhi chahiye,
par us beemari mein unko takleef hoti wo kuch btati hi nhi,
na kisi ko khayal hota unka,
phir ek din Unka beta Apni behn ko call karta hai,
jo ke shadi shuda hoti hai,
wo apney ghar mein hoti hai,
ke inko akar lejao,
dikha lena ilaaj wagera,
yani uske paas waqt nhi tha apni us zayeef Maa ke liye ke kuch waqt nikal kar unka ilaaj karwadey,
khair wo behn ajati hai unhay leney ke liye,
par Wo masoom Maa yehi rah dekh rahi hoti hai ke unka beta unhay shayad rok lega.kyu ke behn tou apne ghar ki thi par usney dekha ke yaha tou inka koi khayal nhi rakhyga tou wo layney forun ajati hai apni maa ko,
aur jab car mein bhaith rahy hotey hain tou wo masoom Maa yehi dekh rahi hoti hai end tak ke ye mujhe ab rok lega😢😢par hota kuch yu hai ke unka wo beta jab wo pichay mudh kar dekhti hai,
tou car ki window se tou haath hilakar bye bye kar raha hota hai,
aur wo samajh jati hai,
ke ye mujhe apne sath rakhna hi nhi chahta tha,
aur apni beti se kehti hai,
ke dekho kaise haath hila kar taa'ta kar raha hai😢🥺
ke unsay ek Maa nhi sambhli jisne ek sath subki parwarish ki hai,
kuch arse wo apni beti ke paas rehti hai,
phir unki death hogayi,
jab mujhe ye khabar pta chali tou dil bohat udaas huwa wo itni masoom zayeef si thi,
ek bar main unse mili thi,
wo bohat cute si buzurg thi🥺
par jo bhi hojaye,
bhaley Maa baap budhe hojaye,
unko jabhi bhi nazar andaz nhi karna chahiye,
unko isi waqt hamari zaroorat hoti hai,
aur betey itna busy hojatey hain ke,
rishton se barh kar parents jaisi hasti ko hi bhula deta hain,
jab ke khaliq-e-kainaat ne Qur'an paak mein kiya hukm diya hai unsey kis tarha pesh ana hai,
parents ka khayal rakhy,
unki udasi ko mehsoos kary,
unko khush rakhy,
unko kabhi bhi nazar andaz na kary.
© Queen writes