...

48 views

Ehsaas....
Safar Kitna bhi lamba q na ho agr Saath humsafar ho to kat hi jata hai . Zindagi bhi Kuch issi Tarah muskilo k baad kat hi jati hai . Jaha main ek Taraf Apne past ko bhula nhi PA rhi thi wahi Kabir Jo mujhe himat dene ko har waqt taiyaar tha . Veer uske samne baitha tha main kabhir ke Saath sofe pe kamre me khamooshi si cha gai thi .veer ko andaza nhi tha ki kabhir hamare bare me sab janta hai aur usse rukne ki izaazat bhi ussi ne Di hai . Kamre ki chuppi todhte hue Kabir ne baatein shuru ki business ki family ki aur uski baato ne Kahi na Kahi meri ghabrahat Kam kardi. Raat kafi ho chuki thi veer sone ja chuka tha main apna sir Kabir ki god me dale wahi leti rahi. Kuch pal ke khamooshi ke baad main ne masumiyat bhari nazro se kabhir ko Dekha Woh aankhe band krke Apne chehre pe muskan chodta hua mere balo to thapki de Raha tha . Main usse Dekh ke uski ki muskan ko Dekh ke sab bhol gai apna past veer us se milna sab . Zindagi ke is mor pe aake jaha hamara rishta kitni hi mushkilo ke baad pohcha hai main usse wapis Kisi kamzor Kadi ki waja se kharab nhi krna chahati hu . Kabhi koi Galti agr ho bhi Jaye mujhse to Kabir hai mere Saath Kabhi agr door bhi Jana chahu usse to Woh kheech ke Apne pass le ayega mujhe hamesha hamesha ke liye . Pyaar Ka ehsaas aur uska mukamal Hona khuda ki naimat hai aur main is naimat ki haqdaar hu..
#solemates #love #Relationship
© All Rights Reserved