...

10 views

The alone girl
ek ladki jisne bachpan se sirf struggle aur problems face Ki...
na koi saathi, na koi support bas khud ke bharose par wo chalti rhi ...

Janam hua to dadi ne apnane se mna kar diya.... 5 saal apni family se wo bechari duur rhi.
jab wapas aayi to iss aasha mei ki kya pta ab dadi ki nafrat khtm ho gyi ho
par na dadi ki nafrat badli thi aur na dadi ki soch....
2 Bhai mei ek bhen thi wo....
takleef hoti thi use ye dekh kar ki sabki dadi kitni achi hoti hain...
par wo bechari bas sehti gyi apni dadi ki buri buri baatein...

School mei admission hua to classmates baatein mnate the.... n koi dost tha, na koi baat karne wala...
har kisi ki bachpan se baatein sunne ki aadat daal li usne... par ek baar uske sehene ki shakti khtm ho chuki thi...
jab ek classmate ne use pta nhi kya kya bola tab usne pehli baar apne liye awaz uthai... or use muh tod jawab diya...

phir use samajh aaya ki jitna chup lgao ye duniya utna hi sunati hai
aaj bhi uske sapno ke khilaf sab hai... par
usne himmat nhi haari or na haregi.
hmesha akele apni problems se, apni ladaiyon se akele ladti rhi hai or aaj bhi lad rhi hai.

khud ka saath ho toh duniya ki har problems ko haraya ja skata hai... bas jarurat hai to khud par bharosa karne ki... kisi aur ki jarurat tab padti h jab khud se mann haar jaata hai.


© Rimjhim..(the lone warrior)