...

5 views

The Story Of Failure To Success Writer ( Jk. Rowling ) Final Part
June 1997 mein , 31 saal ki umar mein unki pehli "HARRY POTTER AND THE PHILOSOPHER ' s STONE " ki hazaar copies publish hui , jab logon ne unki book ko padha tab uski demand or tezi se badhne lagi 5 mahine baad unki kitaab ne apna pehle puruskar The Nestle Smarties Book Prize jeeta or jaldi hi Jk. Rowling ek unemployed depressed single mother se one of the best selling authors of all time ban gyi , unki pehli kitab " Harry Potter And The Philosopher's Stone " ab tak ki sabse zyada bikane waali kitabon mein se ek hain .
Unki 7 book ki series ke duniya bhar mein 450 million se bhi jyada copies bik chuki hai , unki books par based movies ne ab tak 7.7 million dollars se bhi zyada kamai ki hai . Saal 2004 mein Forbes magazine ne Jk. Rowling ko pehli billionaire writer ghoshit kia. Yani wo pehli aisi writer hain jisne apne writing se billionaire status achieve kia. Woh raaton raat successful nhi hui unhe boht durbhagya or rejection ka samna karna pada. Wo bhi tab jab woh apni beti ka khayal rakh Rahi thi . Aur saath hi saath depression se bhi ladh rhi thi . Unke failure ne unhe majboot banaya or unhe unke passion ke kareeb laya . Itne famous or Ameer hone ke bawajood wo unn mushkil daur ko bhula nahi paayi . Unhone itni chrity Ki , unhone 2011 mein apna billionaire ka status tak kho dia. Jk. Rowling ki kahani humein yeh sikhati hai ki kadi mehnat ka fal milta hi hai. Agar aapka koi sapna hai or aap baar baar usmein rejection face kar rahe ho to kabhi haar mat manna . Rock bottom ko apna foundation banana conclusion nhi.
© adhoore khwab