...

6 views

Tumhara janamdin
Toh 28 th ko tumhara din tha jo ki bada hi pyaara din tha . Man toh bohot kar raha tha ki tumse call karke bday wish Karu par himmat ka kuch ata pata na tha .
phone karke kya hi kehna tha
abhi bhi bday yaad hai tumhara ye nahi
tum khush toh ho na yeh puchna tha
ek dusre ko bina mile humne itni saari yaado ko simat kar rakha tha.
peechli baar tumhari aavaj koyaad kar kar dil Zoro se ro raha tha
es din par tumhare liye kya dua karu tumhare liye, tum khush raho aur kya hi chahti hu mai tumhare liye humara milna ek dusre se ghanto baat karna ye mehez itafaak na tha kuch toh tha jo bohot khwabeeda tha socha phone pe kya kahungi apni galti ki saza mangungi ya pyaar ki wafa chahungi vo saare Palo ko yaad karungi ya sirf hbd bolkar phone kaat dungi
Aaj subse pehle kisne wish Kiya yeh puchungi ya bye bolkar block kar dungi
tumhe sirf ek baar dekhna chahti hu ye kahungi ya un yaado me phir khona chahungi tumhe phone par toh nahi par khwabo me wish karna tha happy Birthday ex i love you and i am sorry
© safaredard