...

24 views

चलती का नाम जिंदगी
Avni bahut hi bhavuk ladki thi.. use apni har ek cheez se lagav tha. Uski jindagi bas ghar se school aur school se ghar tak simit thi...

Apne maa baap aur bhai, apne sab nazdeeki rishtedaron se uska bahut lagaav tha. Kisi ko khone ke naam se bhi vo darti thi.

Kabhi koi mazak me bhi marne ki baat bol deta tha to vo soch ke hi rone lagti. Uske liye to kisi nazdeeki ki maut uski apni maut ke brabar tha...

Vo bahut jaldi kisi se bhi dil laga baithti... Aur pakshiyon aur janvaron se uska khaas lagaav tha.

Vo roz kabutron ko paani aur daana dalti, aur ek din aangan me chal rahe pankhe se ek kabutar takra gaya aur uska pankh tut gaya, Avni ne uski khoob seva ki.

Par agle din jab vo subah uthi to vo kabutar mar chuka tha... Veh bahut royi... Maut ke sath yeh uska pehla sahmna tha... Sara din roti rahi jab ki sirf kuch ghanto ke liye hi usne us kabutar ki dekhbaal ki thi...

Samay betata gaya aur Avni college ke akhiri saal me thi ki ushe jeevan ka sabse bada jhatka laga.... Uske pita ka dehant...

Veh to toot hi gayi thi aur ansu ki ek bhi boond uski aankhon se nahi jhalki, use to veh ek bura sapna lag raha tha. Yaha tak ki apne pita ke mrit shareer ke paas tak nahi ja rahi thi. Uska baandh to tab toota jab sanskar se pehle uske pita ka mukh akhiri baar dikhaya gya...
Akhiri alwida pe veh phoot phoot kar royi...use lag raha tha ki jaisa uska jeevan khatam hi ho gaya ho...

Uske sath vo ho gya tha jiski usne kabhi kalpana bhi nahi ki thi... Uske baad uska jeevan bilkul badal gaya. Ushe duniya ka asli chehra samjhna aa gya aur waqt ke sath vo yeh bhi samajh gyi thi ki kisi ke jaane se duniya nahi rukti...
Apne pita ke bina ek pal ki bhi kalpana na kar sakne vali Avni, ab unke bina duniya ka sahmna kar rahi thi... Yaha tak ki apne aap ko sambhalne ke sath sath apni maa aur apne bhai tak ko sambhala usne.

Ab bhi Avni bhavuk hai par samay ke sath usne yeh seekh liya hi kisi ke jaane se jindagi nahi rukti, jindagi aur samay apni raftaar se chalte rehte hai. Jaane vale chale jaate hai apni yaadon ke sahare hume chod kar...
Ab bhi koi nazdeeki ki maut ho to Avni ko jhatka jarur lagta hai par vo ab khud ko sambhalne me saksham ho gayi hai...

Ab vo ache se samajh gayi hai ki chalti ka naam hi jindagi hai...