...

15 views

koi naam na hoga.... (part 1)
distance study ka naam tha,
digree Lena bas kaam tha,
do ghante ki class thi,
man mai engineer banne ki aas thi,
class me pehla din tha,
jo lag raha thora kathin tha,
naye dost banenge,
ya jaane yeh din kaise katenge,
inhi soch ki gehrayi me mai dhasa tha,
ajeeb kashmakash me fasa tha,
tabhi darwaze par kisi ki dastak hui,
may I come in kah woh enter hui,
dekh usko dil me aisi shehnayi baji,
maano mil gayi mujhe,
saare kaynaath ki Khushi,
pehli class me jab usne apna intro diya,
sab ko bhul mai bas usi me kho gaya,
woh thahri topper aage baitha karti thi,
meri nigahe toh bas usi par rehti thi,
woh kitabo ko ,
aur mai use padha karta tha,
par baat karne se,
jaane kyon yeh dil itna darta tha,
use dekhne ke bahane,
attendance bhi ab meri puri lagti thi,
par na jaane kyu,
woh kabhi na kuchh kehti thi,
chand dino me hi ban gayi thi woh mera jahan,
par shayad woh toh thi mere naam se bhi anjaan,
ab na jaane eis kahani ka aage kya anjaam hai,
mere dil ke ein jazbaato ka kya naam hai,
anjali