Dastane zindagi...!!( Garibi, ilm or mohabbat)
Hamid ek hoshyar or mahenaty ladka tha jis ka janam ek garib gharane me huwa. garib halat ki waja se na hi khane ko kuch acha milta or na hi naye naye kapde pahenane ko milte or na hi kisi English top school me padh pata.. abbu hal chala ker jo bhi kamayi late usi me kha pi ker ek sadharan zindagi me o bhot khush the...Hamid kisi govrmnt school me padhta tha o class me hmesha awwal number se kamiyab hota tha..o ek zahanatdar or bhot mahenaty bacha tha,ustaad, dosto or digar logo k sath bhot ache se pesh ata tha ...
Usne apne 10wi ke imtehan me awal numbr hasil kiye.
Rahi bat aage ki pdhai ki o ek software engineer banana chahta tha par garib halat ki waja se o engineer ki padhai ka kharch utha nahi sakta tha..usne bhot koshish ki k o softwere engeener ki pdhai ker sake..par uski kismat ko a manzoor nhi tha..
Paiso ki kami , egneering me admission na ker pane ki waja se us ka dil tute gya or use apne garib hone ka ahsas hone lga.. engeenier ka sapna choor hone k baad o apne gaun me hi kisi sadharan college me becom ka admission liya.
Fees bharne k liye or pdhai ka kharch uthane k liye o din me clg jata or sham me logo k kheto me kaam kerne lga. Ayese hi din guzarte gaye or o becom bhi awwal numbr k sath...