...

25 views

My innner self
Dear self meine tumko bahut sari khushiyon se door kiya hai. meine har us pal me tumko roka hai jis pal me tum apne man se azaad hona chahte the. kabhi kisi ke dar se kabhi kisi majburi ke naam pe meine tumhara dil toda hai tumko na dikhne wali lekin majboot zanjeero se jakda hai... Han me tumhara katil hu mein tumhari khwahisho ka katil hu, tumhari un tamaam udano ko jisme tum asssma ko chunna chahte the tumko chune nahi diya...
© AMMI

Ham hamesha apni khushiyon ko jeene se pehle un tamaam logo ke bare me sochte hai jo shayad hamse kisi bhi tarah ka tallluqk bhi nahi rakhte hai. bas yahi hamari khushiyo ko kam karne ki wajah ban jata hai.

Meine shayad tumko khud me maar chuka hu. ab jo hai wo bas dusro ke liye zinda hai aur shayad dusre ke liye hi ek din mar jayega. dear self mein aaj tumse un tamaam gunaho ki maafi mamgna chahta hu. jo meine janbhujhkar aur anhoni me bhi kiye hai... m really sorrry dear self m really sorrry for hurting you for making you who you are right now.. m really sorrry . me aaj un Sare gunaho ko samne rakhunga jo meine tumpe kiye hai..

Aaj mujhe khud pe gusssa ati hai kyuki meine jo kiya usse ek pal nahi balki kisi ki puuri zindagi badal gyi .aur aise badli ki aaaj sabkuch bikhra bikhra sa ho gya hai. kabhi socha bhi nahi tha ki khud ko na sambhal ke rakhne ka itna bada losss uthana padega. Sach hi kehte hai kabhi kabhi hamara ek decision hamari puri zindagi ko badal kar rakh deta hai..

Ek baat to jarur kahunga hame hamare sath kaisa behaviour rakhna hai ye hame bahut hi acche se decide karna chahiye .Warna ek din hamare sath dusre kaisa behave karenge ham decide nahi kar payenge
Hamari zindagi ke kuch faisle jaise hamara khud ke liye values khud ke liye vyavhar khud ke liye pyar aur khud ke liye respect hame khud banani padti hai ek fixed time se pehle warna puri zindagi ham bas ghut ghut ke jeete hai . aur dusro ki isme koi galti na hone ke bawjood dusro ko apni har takleef aur dard ke liye zimmedar batate hai.. .. to be continue


jab hamara man kaccha hota hai na us waqt koi adat koi udan hamare liye gili mitti ki tarah kam karti hai. lekin dusro ka hame bewajah rokna tokna hame acche se pakne aur ek accha akaar nahi lene deta.. jisse ek din ham bahut sa samay bitane ke bad bhi ander se darpok ( kacche) man ke ban ke reh jate hai..