...

31 views

Soch (Sahi ya Galat)
hum duniya mai ek din aatee hai aur ek din chale jate hai par pure safar mai hum kabhi ye sochte hai ki jo sirf humko ek gift mila hai soch ka uska humne kab aur kis tarah instmal kiya hai?

aaj jab upper dekhta hu to khule aasmaan mai taaree dilute hai badal dekhte hai color dekhte hai kabhi black to kabhi blue, inke pass agar dimag hota to ye bhi kabhi sochte chand sochta aaj to badal hai earth par dikhna to wase bhi nhi hai to jake kya karna hai jaunga phir aaunga dikhna wase bhi nhi hu to wo kabhi aataa hi na.

star sochte itne badalo mai hume kon dekhege to wo bhi na aayee.

tree bhi sochte ki mai bada hi nhi hota kaat jaunga ya toofan mai udd jaunga yo wo kabhi bahar hi na aatee.


aur ye sab agar ye soch kar apna kaam na karte to shayad earth par hum na hote, isliye inke pass soch nhi hai aur wo apna karam karte jate hai.

bhagwan ne soch sirf hum insano ko kyu di? hum apna kaam sahi se kar sake isliye ya soch kar pareshani dekhe aur karam hi na kare isliye? ya phir problem ko samajhkar uska solution nikal sake isliye?

iska jawab kya hai pata nhi par kabhi baar soch hume hamare karam karne se rok deti hai ye saach hai .


ye sahi hai ya galat pata nhi.

aasaa hona chaiyye ya nhi pata nhi.

In my opinion bhagwan ne agar soch tree ko nhi diya ye soch kar ki wo apne karam se piche na jate to hame bhi isliye di soch taki hum bhi apna karam sahi se kar paye. na ki apne karam se piche hate.
© JD