...

8 views

Mujhe likhna kyon pasand hai..??
Aaj Suraj bahut der se nikal raha hai, Iss yaad ko capture karne ke liye ek ladki selfie le rahi hai.

Aaj ke generation me log aise hi hain..

ham log kaise bhi kar ke..
Yadon ko store kar ke rakhna chahte hain.

Magar ek selfie mein kya hi hoga.??

Uss mein Suraj rahega...
Barish Bhi rahegi...

lekin unhein dekh kar humne Jo ehsaas hua, wo ehsaas Nahin hoga.

isiliye Mujhe likhna pasand hai sayad...

Unhein dekhte huye humne Jo feel kiya,
Uss feelings ko hamlog shabdon me bandh kar sakte hain.

Ham Jab yadein banaenge,
Tabhi to hamari yadein banengi.

Jo chiz ham yaad rakhte Hain,
Unhein shayad hi kabhi ham bhulate hai.

Agar hamein, hamare pahne hue kapde ya jis restaurant Mein humne khana khaya tha aur jis bare mein Ham baat kar rahe the, Agar hamen yah sab yad Nahin rahega To hum uss waqt ko Jiyein hi Nahin.

Yahan Maine Jo likha hain, Ye Koi moments Nahin Hai.
Ye wo pal Hai, Jo Maine khud Jiyein hai.

© Dill_Vill_Pyar_Vyar