...

12 views

ek ankahi prem kahaanii...
#TheWritingProject
Kehte hai ki prem kiya nahi jaata hojata hai, aaise hi ek shehar me rehne wali seedhi saadhi ladki ko bhi huaa anjaan se shehar me vo gaav se aayi thi padhne ke liye college me jab vo pehle din gayi to use dekhte hi aankhe jaise tham si gayii . Najar jo thii unpar se hat hi nahi rahi thi dil to bas chaah raha tha ki bas dekhe jaau lekin ye silsila maine khatam kardiya jab lekin tabhi meri saheli ne mujhe kaha bhai kaha kho gayi class ke liye chale to us waqt to class ke liye chali gayi aur fir dimag me aaya ki mai yaha padhne aayi hu to bas padhne par dhyan dena hai us waqt to dimag ne dil ko samjha liyaa lekin, dil hai ki maanta nahi
jab classes ke baad bahar aayi to fir saamne vo thaa lekin is baar maine aankhe ghuma li fir mai ghar chali gayi. Agle din jab mai fir college aayi to use apne dosto ke sath muskuraate hue dekhkar mera dil to jaisa mareez hi ban gayaa lekin Dimag kehta nahi Tujhe siraf apne career bnana hai kisi ke pyaar me nahi padna par mai galat thi ab jo dil thaa unka ho chukaa thaa fir jab mai canteen me coffee pee rahi thi to achanak se vo mere table ke pass aagya jis insaan ko agar ham door se dekh kar us se ishq karte rahe vo agar pass aajaye to kya haal hoga bhalaa aur uske ye shabd sunkar mera dil tham saa gayaa bilkul dil ko jaise saari khushiyaan mil gayi usne kaha tum akele rehti ho kya ham dost ban sakte hai ye baat sunkar mere mooh se haa ke ilawa or Kuch naa nikla fir usne kaha kya ham saath me coffee pee sakte hai to bas dil saara kaa saara unka ho gayaa. agle din mai Bahut khushi se college gayi aur fir free time me hamari kaafi baatein huii fir usne kaha kal mera janam din hai aur ham sabhi dost ek saath celebrate krenge tumhe bhi aana padega to Maine use kaha nahi mai aise nahi aa sakti mai vaha Tumhare ilawa kisi ko bhi nahi jaanti hu to usne kaha jaan pehchan to badhaane se banti hai par maine manaa kar diyaa to usne aage se kaha koi baat nhi tum agar comfortable nahi ho to koi baat nhi. agle din uska birthday thaa to dimag baar baar soche jaa raha tha ki kya tohfa diyaa jaye kaafi soch vichaar karne ke baad maine ek shirt li aur use gift wrap krakar college gayi aur use vaha birthday wish karke gift diya usne kaha tumne wish kiya dil se vahi Bahut tha iski kya jarurat thi aj vo aur bhi bahut jyada khubsurat lag raha tha dil chaah raha tha ki bas use gale lgaalu. fir agle din college me usne apne birthday ki photos dikhayi to ek tasveer me meri aankhe gadi ki gadi rehgayi ek ladki ke saath uski photo dekh kar maine bina soche boldiya ye kon hai to usne kaha ye meri mangetar hai door rehti hai par kal mere birthday par aayi thi ye baat sunkar dil me tabahi si machh gyii Dimag jaise fat saa gayaa mai us samay use badhai dekar vaha se chali gayi par ghar aakar Bahut royi us raat ko kaatna bahut mushkil horaha tha fir mai krishna ji ke vichar sun ne lagi uske baad dil sochne lagaa prem to ek tarfa bhi hota hai agar vo hamse pyaar nahi karta to ham to use karte hai rukmani naa sahi meera to ban sakte hai bas usi khushi me agle din college apne sapne bhare dil se college gayi...
© by khushi