...

6 views

IN$AN.....(HUMAN) KYA HAI....?🙁🤔
Janwar me akal ,, aur farishte me khwahish hoti hai!
magar insan wo Wahid hai jisme dono hoti hai!
Agar wo akal dba le to janwar,,,, aur khwahish dba le to farishta......

Insan! Akhir ye insan hai kya chiz, kyu bnaya gya ise, akhir iska wajood kya hai?.....aese bhut se sawal hain jo apko bhi preshan krte honge...aur sbke liye iska jwab alag hoga.

Insan ek aesa mauzo hai jise allah ne ek dusre insan ke jism ke nichude hue pani se bnaya hai. akhir bnane wale ne bhi jo bnaya kya khoob bnaya hai. jism ke do bund pani se ek insan ko bnaya aur fir use bhi kya khoob dhaya hai.. uske andar anginat khoobiyan bnayi, use khud ko chlane ke liye dimag diya , sochne samajhne ke liye dil diya....
aur us dil me hzar khwahishen paida kin... ab ye Har insan pe hota hai ki wo apne dil me kisi ke liye kya rkhta hai.....🖤

Isi dil me kisi duniyawi chiz ke liye khwahish bhi hai, isme mohabbat bhi hai, isme nafrat bhi hai, to isi me hasad bhi hai kisi ke liye...
kisi ke liye bechaini bhi hai to kisi ke liye tadap bhi hai.....aur in sb chizon ko allah ne kitni khoobi se bnaya hai.🖤

Insan ek aesa khoobsurat kirdar hai jiska makam allah ke nazdik farishton se bhi phle ata hai....aur insan ke andar dimag iski body ka Central boss hai jo is puri complex jism ko sambhalta hai.
humare andar aesi bhut si chizen hain jhan prr aj tak science bhi nhi phunch payi....

Hum agar gaor kren to kitni Barik se hum bnaye gye hain... insan ke jism se nichude hue pani me krodo kide hote hain jinhen (sperm) khte hain fir in sab ke bich daur hoti hai....aur in Lakhani keedon me se koi ek hota hai jo Jang Jeet leta hai.... aur wo aurat ke ovum se mil jata hai. aur fir yhi se tayar hota hai ek nya insan....zra socho ki jisne Hume bnaya usne kitni khoobi se humare andar ek ek chiz dala aur humare jism ko itna complex bna ke fir ek insan ka dhancha taiyar kiya.....aur isko zinda krne ke liye fir isme rooh dali jo har ek jaan ki buniyadi jad hai......😌



© 《Influences of Lif€》