Saza....2
Rampur gao kun ki padhao se ghira hua tha waha ke rasto ki halat buri thi jiski waja se waha ane Jane wale tourist aur kai Roz ki cheezo ke liye ane Jane walo ko kai taklifo ka samna karna padta tha. Rampur gao aur dusre sehro ke bich ek badi nadi hoke guzarti thi jisse par krna bohat mushkil tha .Sarkaar ki aur se koi khaas madat na milne ki waja se gao walo ne mil kar hi iska ilaz dhune nikl gaye gao ko shero se jodne ke liye ek badi pul ko banane ki zarurat thi par waha ki constructions companies ne apne faide ke liye waha videshi logo ko woh pul baichne ka faisla kar diya. Gao walo ko apni taraf krke unho ne us pul ke kaam ki shuruaat bhi krne ki koshish ki par us nadi ke pass hi ek chota sa ghar tha ghr ka malik imandari ki raah par chalne wala tha aur vigayan se juda tha . Usse jab is baat ka pata chala to usne gao walo ko is baat ke bare mein batane ki koshish ki par kuch log jo construction company ke haatho bik chuke the unho ne us admi ke khilaf hi gao walo ko bhadka diya aur usse hi us gao ke bahar nikal diya aur kuch gundo ke saath mil ke usse mar diya. Unho ne usse ussi ke ghar mein fasi lagadi aur us qatal ko khudkhushi ki tarah dikha kar apna pala jhad diya. Veer ke qatal ke baad koi aur unhe rokne wala nahi bacha tha aur kuch hi mahino mein pul banke khada ho gaya par aaj bhi us pul ka istemal krna mana hai . Jab se woh hadsa hua tha....
© Z@in@b~
© Z@in@b~