...

13 views

tunni Part 2
a..re..yah mene kya kar diye..baap re bhago yanha se ,or tunni lakdiya lakar apne Ghar jaane lagi, ghar pahunchte hi,usne dekha ...
tabhi uski maa ne kaha
sunita., kyun ri kanha thi itni der .. kitna samay ho Gaya hai .or tume pata bhi hai tumhare pita ki halat.
tunni , maaf karna maa ab phir aisa nahi hoga..
father, Birju, kya hua bhagaywan ,bitiya par itna kyun chilla Rahi ho, bachchi hi to hai ,kal se jaldi aa jayegi , chalo ..chalo..ab khana bana lo mujhe to bhut bhukh lagi hai,, kyun bitiya Rani? tume bhukh nahi lagi ,

tunni, hanste huye, bhaag kar gale lag gayi

kuch samay bad..
sunita, Han han me to kuch bol hi nahi sakti, kitna ser par chadhaoge ese ,, kher ...khana ban gya hai..aa jao sabhi..
phir sabhi hanste huye khana khane lage .🤗

wanhi Anshu sir sochne lage .
wo bachchi kon thi ..roj roj wo kya karne ati hai. muje jarur baat karni hogi ,

or agle hi din tunni khet lakdiya lane ke liye gayi. or wo har din ki tarah us school ko dekhne jaane lagi . tabhi Mann me khayal aaya a..re ..nahi..maa ko pata chala to wo naraj ho jayegi ..
tabhi...use Ashu sir milte hai..are ..beta tum kon ho? or roj roj yanha kya karne ati ho , kya tum bhi in bachcho ke sath padhna chahti ho?
tunni,, chup chap ..
Ashu sir..bolo beta daro mar..
tunni rone lagi
Ashu sir.kya hua beta?
tunni.sir hum bahut garib hai,mere maa baap ke pas itna dhan nahi hai ki wo muje yanha padha sake.
Ashu sir .koi baat nahi beta ..
Ashu sir... chalo tumhare pariwar walo se molte hai.unse me baat karunga..
phir tunni or Ashu sir Ghar ki taraf chalne lage...