...

5 views

Jagte hue sapne
Jag me kuch khass karne to aye honge hum
Bhagwan ne kuch to soch k bheje hi honge
Itne bade dunia me chiti barabar hum
Aur Krishna uthaethe Gobardhan apne chhoti ungli par..
Iraade sahi hone chahiye ....nahi to Sab hai barabar
Dhyan dena hai apne laskhya par
parinda bankar udle oon uchhai par
kabhi Andhi to kabhi tufan
Kabu me karle apne mann
Bandh ankhon se nahi khule ankho se dekh sapna
Ho ja taiyar mann aur tann me leke naye armaan
kagaj bhi hai aur kalam bhi
Bhid ja apne Jang k maidan me
kitne bar harega...tokar Khate khate sikh hi jaega
kon sikhta hai bina anubhuti ke
jaag ka yahi to reet hai
Jab itne dukhon ke baat sukh aega ..to tu yaad karke muskuraege
Kabhi jo mehsoos hoga wo kabhi na soch tu paega
Hoton me muskan aur ankhon me anshu ek sath tu paega
Khud pe biswas nahi balki naaz hoga
Baar baar mann ko samjha k agge badhna hai
Baki jo bhi ho rab pe chodna hai..