...

23 views

क्या हुआ........कुछ भी तो नहीं बस दिल टूटा है
Kya hai na dill Tuta hai bin aawaz kiye..
Aur dard chilla ke ro raha hai...
hum bhi kha samjhe hai...
humko ye kya ho raha hai...

Sometimes Aap samajh hi nai pate ho ki aapke sath ho kya raha hai
jab aap kisi ko kho dete ho aur usse koi shikayat v nai kar sakte
Tab kuchh baatein hoti hai Jo man ke andar hi hoti hai jise hum bayan nai kar pate hai
Usi ko poetry me utarne ki kosish ki hai ...
I hope aapko pasand aaye.

Kya hua jo inn aankho me nami hai
Kya hua jo teri hi ek Kami hai
Kya hua jo ye saansein meri thami hai
Kya hua jo sab pa kar v kuchh Kami hai
Kya hua jo dil tut gaya
Kya hua jo sath chhuth gaya
Kya hua jo abb wo yaad nahi
Kya hua jo abb wo paas nahi
Kya hua jo mai rota hu
Kya hua jo mai na sota hu
Kya hua jo abb meri fikra nahi
Kya hua jo abb teri baaton me mera jikra nahi
Rahti to tum abb v ho meri yaadon me
Kya hua jo abb tum par Mera haq nahi
Kya hua jo abb koi Samajhta nahi
Kya hua jo abb koi apna kahta nahi
Kya hua jo apna kah kar tanha chhod gaye
Kya hua jo iss nazuk dil se khel gaye
Kya hua jo tu mujhse rootha hai
Kya hua jo tera wada sara jhutha hai
Kya hua jo mujhpe pahli wali baat nahi
Kya hua jo abb pahle Wale jajbat nahi
Kya hua jo abb mai bas ek dil bahlane ka saman hu
Kya hua jo abb mai bas ek gumnam naam hu
Kya hua jo jagi jagi si hai raatein meri
Kya hua jo suji suji hai ye aankhein meri
Kya hua jo abb teri yaadon me tadpenge
Kya hua jo abb tujhse kuchh na kahenge

Kahne ko toh bahut kuchh hai meri jaan
Kya hua jo abb dete sath mere lafz nahi.....

© Mγѕτєяιουѕ ᴡʀɪᴛᴇR✍️
@Ashishsingh #Ashishsingh #mysteriouswriter