...

19 views

possible life
kitna acha hota jab hum jaisa chahe aur vaisa ho jata toh phir na koi shikayat hoti aur na koi bandhan aur na koi muskile lekin kya hai na hume shuru se eaisa bna diya jata hai ki khud mehnat karo aur khud rate ke mahal khade karo kisi ko bina kuch kiye itna mil jata hai jise woh sambhal bhi nahi pata aur kisi ko itna nahi mil pata ki woh 2 waqt ki roti kha le yeh kaisa dastur hai kaha jata hai sab pichle janm ka lekha jokha hota hai. kya hum samj sakte hai jo logo ke saat bura hota hai mere bachpan mai kuch eaisa sunne ko mila tha ki 5th year I ladki ka rape badi hi berehmi se kiya aur baad mai un behshi darindo ne use jala diya kya hum jaan sakte hai ki uska pichle janm mai us bacchi ka kya karam raha hoga and un darindo ke kya karam rahe honge taki hum aane vali apni peedi ko bta sake ki eaisa mat karna nahi toh eaisa hoga. hume shuru se hi shikhaya jata hai school mai ki bura mat karo bura mat bolo eaisa mat karo vaisa mat karo toh phir Is mayavi duniya ki pehchhaan kyu nahi karayi jati hum bas kuch pal ke liye afshosh karte hai baad mai ittu sa bhi fark nahi padta. fark toh usko padta hai jiske apno par yeh bura waqt bijli ki tareh un par gira ho vaise kehte hai in sab baato ka koi matlab nahi hota kyuki kisi ke pass in baato ka koi zabab nahi mil sakta sab bhagbhan par chor dete hai lekin kyon nahi janta yeh dunyia bnayai hui hamari hi hai bhagbhan ne toh hume janm diya jeena toh hamare hath mai hai ki kaise jeena hai