...

2 views

insaniyat, behaviour, human nature
kyo dhong rachta hai ye insaan,
hamesha dusro ke samne safedi ka chadar odhe ghumta hai,
aur man to ravan se bhi bura hai,
sanskaron ki bat karane vala,
khud ke sath ya usse jude logo ke sath kuchh bura hone par majboor aur kamjor banne vala insan kya khud bhi kabhi insan ban ke raha hai kya?
kya usne kabhi kisi kamjor ka
fayda uthane se pahle
ek bar bhi socha hai ?
ya fir usne kabhi us vyakti ki
vyaktitva ko samjha hai,
jo usse ohde me chhota ho,
usne to use jarurat ke hisab se hi use kiya hai n
aur uske bar- bar kam karne ke bad bhi respect nahi kari kabhi uski,
to vo khud ke bade se ye ummeed bhi kyo aur kaise kar leta hai,
chaliye chodiye kuchh aur bate karte hai, aj mai raste se a rahi thi,
mammi se bat karte huye,
meri adat hai subah jab room se apne kam ke liye nikalti hu to daily unse bat karte huye unki tabiyat aur baki sab puchhne ki,
aur vo bhi yha kya chal raha puchhti hai, to aj ek lagbhag 65-70 year ke dada mere opposite direction se a rahe the jab vo mere thik samne pahuche,
to ye kahkar nikal gaye ki, "aur bade_bade",
vo admi jiski khud ki ek tang kabra me hai,
aur dada ji vakai apne ek connection group me apne logo ke beech baithkar kahi n kahi desh aur aas_pas chal rahi chheezo me mashvara jarur dete honge, rajniti me kya chal rha,
padosh me kya chal raha,
aur kisi ke sath kuchh hua to us din vahi charcha me hota hai,
kai tarah ke dalile shamil hoti hogi unke charche me,
ye hona chahiye, ye nahi hona chahiye,
ye sahi hua , ya ye galat hai,
jab kisi ladki ka rape ya murder hota hai to ye log kahte hai,
ladki ko is vakt vaha nahi jana chahiye,
rat ka kam karna hi kyo hai,
agar gayi thi to kisi ko lekar jati,
mobile nahi dena chahiye,
aur ye dushkarm to din me bhi hote hai n,
yahi log bolte firte hai
ki kisi ko sath lekar jana chahiye,
itne time bad ghar se bahar nahi hona chahiye
fir ye time hi ho jab unko jab kam se fursat milti ho ya night shift ho to,
pata hai hamare desh ke sanskari log
aj bhi beti ko ghar ke kam sikhate hai,
aur bete ko bahar ke,
unhe freedom hai, logo ke beech uthne _baithne ka, ghumne ka,
friend ki Sadi attend karne ka,
aur ladkiyo ko ghar ke kam ke bad
ab ek aur cheez ki permission mili hai vo hai padhai,
uski bhi ek limited timing hai,
bahan se bhai ke hath me rakhi bandhai jati hai,
aur bhai ko uski raksha ke liye taiyar kiya jata,
matlab vahi par uski suraksha kisi aur pe depend kar di jati hai,
kabhi bhi use ye nahi kaha jata ki tum apne suraksha ke liye taiyar ho jao, tumhe khud ko protect karna ana chahiye,
apne sare samasyaon ka samana khud karne ki chhamta badhao,
aur fir ham to hai hi,
par yaisa nahi hota,
balki kuch ho to datkar ya ijjat ki duhai dekar chup rahne ki seekh bachpan me hi di jati hai,
jis umra me pata bhi nahi hota in sab ka kya matlab hai,
vo bhai jo apni bahan pe kisi ki najar pade to ankh nikal le,
kisi aur ki bahan ko dekh apni ankhe senk raha hota hai,
vo bhai jo apni bahan ko khud Sara din chahe pareshan kar le
par bat kisi aur ki ho to koi ugli uthaye to hath tod dene ko taiyar hota hai,
rape karne vala bhi to kisi family ka hi hissa hai,
aj jo comments mere liye us budhe ne kiya ye roj ka hi hai,
koi n koi mil hi jata hai 3_4 dino me jo comment kare
aur najare to becharo ki sabhalti nahi,
kabhi socha hai ye kis tarah ka mind_ set hai,
jo dada ab jindgi ka itna anubhav le chuka
vo yaisi bat bol kar nikal rha,
bina jhijhke, kabhi koi ladka to
kabhi uncle, har age ke ye insan jo morche nikalte hai kuch galat hone pe,
khud ko kab sudharenge,
kyoki ye sab khud jimmedar hai,
is desh me hone vale har jurm ke,
kyoki vo katil aur balatkari bhi
inke beech hi palta hai,
koi alag nahi hai,
ap sabko pata hai, ki ek beej ko panapne ke liye sahi jameen ki jarurat hoti hai, uchit matra me pani, khad aur sahi dekhbhal,
kito se rakhrakhav ki bhi jarurat hoti hai,
ye ek kisan behtar samjhega_ janega
kyoki maine sirf basic kaha hai
jyada knowledge mujhe bhi nahi
par in sari cheezon ki jarurat to hoti hi hai,
jitni achchi dekhbhal ho fasal utni achchi hoti hai,
kabhi kisi apda ke karan
agar fasal kharab ho jaye,
to kisan pahle se bhi kuch taiyari karke rakhta hai yaisi paristhiti me vo kya kare, to jab ek paudhe ko itni shiddat se dekhbhal ki jati hai to,
us beej ki jo jameen me nahi
balki insan ki kokh me palta hai
use bhi sahi dekhbhal aur poshak tatva,
sahi sanskar kyo nahi di jati
unhe kyo sirf bahan ki suraksha ke liye taiyar kiya jata hai,
kyoki sabse jyada suraksha ki jarurat
inko hi hai,
inhe hi sabse pahle kudh ko sambhalna seekhna chahiye,
ye sanskar use kokh se milni shuru honi chahiye,
ye problem inke mind ka hai,
shayad inko bhi nahi pata,
ya ye bhi majboor hai,
kyoki in logo ne yahi sab
apne as_ pas dekha hai,
mahol hi yaisa mila hai,
to ye galti kisi ek ki nahi ho sakti,
inko seekh hi yaise parents se mil rahi jo kabhi apne age me vaise hi the
aj bhi sudhre nahi hai,
to jitna ham kisi ke sikhane se kuch seekhte hai usse kahi jyada unke sath rahkar unki tarah rahna seekhte hai
ya bahar ke mahol se seekhte hai,
kuch log kahenge ki unke parents to bilkul nek the bas beta ya beti yaisi hai, nahi, kahi n kahi kami to apne hi ki hai soch kar dekho kaha?
kya apne vakt nahi diya,
ya unhe kuch sikha nahi paye,
kya ap apni santan se itna pyar karte hai ki unki n sirf jarurat
balki har mag ko pura karte hai,
vakai ye bat bahut achi hai,
par iske sath har cheez ka mahatva bhi samjhaiye,
sahi galat ka fark bhi samjhaiye,
bhai ko bahan ka rakhvala nahi
balki us ladki ko hi majboot banaiye,
taki yaise chhichhore aur asabhya log
jab comment ya koi bhi yaisi harkat kare to inhe sahi sabak mile,
dusro ko nahi pahle khud ko sambhalo, apne juban aur niyat ko sambhalo,
ye jo tumhe sukun ata hai kisi ke sath abhadrta karke,
tumhari yahi aadate
tumhare boye beej me bhi ja rahi,
jo age jakar koi n koi kand rachenge,
paisa aur pahuch hua to clean chit ke sath rahenge
nahi hua to salakho ke piche,
fir salakho ka bhi kya kahe unme bhi chhed hai n,
takat nahi vaha bhi insaniyat aur imandari ki,
kyoki ye log bhi kisi yaise hi insan ki beej hai n,
khair jo bhi hai,
agar kahi kuch galat ho raha,
aur din pratidin ghatnaon ka ye kram badhte ja raha
jabki sarkar ne to kuchh had tak free shiksha bhi uplabdh karayi hi hai,
ha ye bat alag hai ki vaha bhi sab dalal hai, ye koi badi bat nahi kyoki har system ka yahi hal hai,
aur ye log bhi to kisi se seekh kar aye to inka bhi mahol yaisa hi hoga,
kisi ko bhi ise sudharne ki kabhi jarurat nahi padi,
jabki jyada kuch nahi karna,
sirf khud ko sudharna hai,
agar har vyakti apni aur apne jimmedarion ka khyal rakhna seekh jaye to cheeze sudhar jaye,
fir unke ghar ki beti bhi safe hogi,
aur bina dare aur ye soche ki kahi kisi ke galat harkato me vo boli to use hi
galat bol ke bhala_ bura sunayi jayegi
ya bura bartav kiya jayega,
jabki ladko ke sath yaisa nahi hai,
agar unhe koi kuch bol de
to vo turant us chhezon ko sudhar de,
seekh hi yaisi di gayi hai,
ya fir agle din hi khamosi se sari cheezon ko bina kisi ko bhanak lage hi sab suljha dete hai,
inka group hota hai, connection hota hai, sahi aur galat nahi yaha bhi takatvar jitta hai,
fir takat paise ki ho ya logo ki,
inka charitra bhi kabhi maila nahi hota, kuch bhi kar sakte hai,
par ladki kuchh na bhi kare n to use samne se bhi koi kuch bol kar jaye to bhi use hi bahut sari daleele mil hi jati hai,
fir to acha hi ho raha jo ho raha sab taiyar raho kab kiska number ata hai,
kyoki jis tarah ki mansikta har jagah vyapt hoti ja rahi usse dekh kar cheezon ka anuman lagaya ja sakta hai,
jarurat hai ab is beemari ka jad se ilaj ho isiliye sabse phle jaruri hai khud me badlav lana aur apne jimmedari apne parivar ko bachana,
ho sakta hai apka beta ya ap kisi ko comment kare isse kuch jyada fark n pade kyoki bahut kam hai to itni si cheez dhyan n bhi diya jaye,
par jaruri hai, kyoki bund - bund hi Sagar bharta hai,
to kisi din us Sagar me ufan bhi ayega hi, aur usme kiska kitna nuksan hoga kisi ko nahi pata,
halaki ye roj ka hai aur mujhe handle karna ata hai ye sab,
time bhi nahi hota,
fir bhi mind me ye bat chal rahi thi to padhna chhod jo is vakt mere liye jaruri hai,
ye bat share kar rahi,
nahi pata iska kya matlab hai,
bas man me jo tha usme se kuch likh diya jo ki Aina hai ek human ke nature ka, hamare society ka.
koi bhi kam sahi tarike se pura
tabhi hota hai
jab use karne vala har insan
apni jimmedari bakhubi nibhaye
to dhyan n do to vo kahte hai n "najar hati durkhtna ghati".
log agar darke saye me jeene aur dar ka mahol banane se jyada agar dar ko panpne se rokne me dhyan de to bahut sare kam sambhal jayenge,
koi bhi nirbhaya kand nahi rachega,
logo ka nahi balki is mansikta ka ilaj hona jaruri hai

March 2024
© sj