...

29 views

PACCHTAAVA
2020 ki mahamaari se hone waale lockdown ka waqt tha jab mai aam dinon ki tarah subah jaldi uthh ke kasrat nahi karta tha na bhaagte huye naashta aur na hee roz jaise shirt pant tie pehen ke roz marra ke upari sukh dene waale kaamon mei uljha raha.
Ek muddat ke sinhavalokan(Retrospection) aur aatmanireekshan (Introspection) ke baad, Shaam ki chaye ki chuskiyan lete huye ek vichaar aaya, jis se aisa mehsoos hone laga ki koi flight pakadni hai magar raaste pe jaam hai, ya pareeksha samaapt hone mei chand minute baaki hain aur kaafi sawaalon ke jawaab likhne baaki hai, ya aise jaise sahi samay pe ek mareez ko aspatal pauhchana hai warna koi anhoni ho sakti hai aur wo Satyam nahi rakh pa raha, ya aisa ki koi zaroori kagaz waqt rehte client ko pohonchana hai magar gaadi kharaab hai.

Aaspaas poore shaant vatavaran ke bawajood ek neendein uda dene wala shor tha mann mei !

Duniya ki har wo cheez jo koi insaan paana chahega wo sab tha mere paas. Tandrust shareer, acche rishte- Parivaar mei mata,pita, biwi,bacche. Acchi kamaayi wala kaarobaar, Dost rishtedaar sabkucch tha.
Lekin wo kya tha jo mere aatmanireekshan aur sinhavalokan ke waqt mei mann mei aisi khalbali si...