...

8 views

Zindagi do pal ki
Jab kabhi zindagi se haar maan baithte h to kayi saare lamhe yad aa jaya karte h
Wo school ka pehla din jab hum us shakhs ka hath chorne ko razi hi nahi the lag raha tha mano jese bichad rahe ho unse, Dil udaas tha kafi or palke bheegi hui thi
kuch din yuhi silsila chalta raha phir adat si ho gayi apna safar khudse tay karne ki
Wakt beet ta chala gaya pata hi nahi chala ke kab bachpan guzar gaya
Socha ke chalo ab zindagi guzregi jese hum chahenge, par malum padha ke abhi to shuruwat thi safar e zindagi ki
Sapno ko palko me sanjoye panchi asman ko chune ki taiyario me lag gaya, Kayi rukawate aayi samne kayi dard jhele dil ne, kayi apne paraye ho chale or pata laga ke is rang badalti duniya me agar khush rehna h to khud or khuda ke siwa or kisise ummid mat rakhna, Mausamo ka kya h badalte rehte h wese hi zamana bhi h, Jab hum samajh lete h apne aap ko, jab sunne lagte h apne dil ki awaz ko to sab sahi hone lagta h or sahi hone me thoda wakt to lagta h, Ghabrana na kabhi ke zamana kya sochega kya kahega kyunki jisne bhi zamane ki chinta ki wo adhura hi reh gaya, Khudki khushia kyu kisi duje me khojni h, humse behtar bhala hume kaun samajh saka h islie befizul ki chinta karke kyu wakt zaya karna h
Sacha ishk milna mushkil hota h mil jaye to sahi or agar na mil sake to konsa zindagi tham jati h insan adhura nahi agar wo khud me khushia dhundna sikh jae
Zaruri nahi ke koi humare liye kuch acha kare tabhi badle me hum unke liye bhala kare, Sukun dil ko oro ki zindagi me ujala karne se bhi bahot milta h, kisike liye dil se dua karna or kisiki dua me shamil hona dono hi baate anmol h
Daulat se zindagi chalti h magar aey raahi is jivan ka pal pal behad kimti h to in shohrato ki daud me zindagi ko jeena mat bhulna


© rõõh