...

1 views

khata(ख़ता)
aaj suraj badi hi chmkili si dikh rahi .mausam bahut hi suhana tha akbar aaj bahut hi khus tha ke aaj wo apni factory ja payega bahut barish ki wajah se factory jane mushkilat aa rahi thi akbar aur nida ye dono apni eklauti beti ke sath hi rahte the mushkil ye thi ab tak ki zindagi unhone kaise bhi guzar basar kar ke kat li per wahi apni beti ke liye kuch kar nahi pate the akbar ki kamai itni nahi thi ke behtar tarike se apni biwi aur beti ki parwarish kar sake phir bhi nida apna ghar chala rahi thi akbar do bhai the uska bada bhai jise wo bhai ji pukarta tha bhai ji bahut amir tha aur saher mein rahta tha kabhi jab use gaon aana hota tho pahle se hi apna sara ayson aram akbar se bol kar karwa leta .akbar intezam kar deta per us intezam aur khatir dari ke chakar mein nida ke gahne bechne pad jane ki naubat aa jati akbar janta tha uske ghar ke halat per samjh nahi chahta tha nida kabhi shikayat nahi karti per akbar ko hamesha samjhati "hum itne amir nahi akbar humari ek beti bhi hai hum bhai ji ke liye humare pass jitna hai utna mein hi unki izzat o khatir karenge per akbar haan bol kar chala jata.
kuch din baad bhai ji apne ek dost ke sath gaon aagye ate hi unhone akbar ko kuch paise diye "bola akbar mere bhai tu pareshan q hota mein hun na tera bhai ji abhi jinda hai tu kisi bhi baat ki fikr na karna
akbar nida sun kar khush ho gaye .
thodi der baad bhai ji ne akbar ko pukara aur kuch paise diye aur sahi dawat ka intezam karne ko kaha .paise bahut thode the ke sirf ek sabji hi aa sake phir akbar ne nida se paise liye aur shaam ki sare dawat ki intezam ko chala gaya.idar nida bhi kaam mein lag huyi thi .kuch din ka silsila yunhi chalta raha nida ke apne saare gahne bikte chale gaye.nida do dino ki bhukhi thi kyunki wo akbar aur apni beti ke liye roti bachha liya karti per use pani pi kar hi guzara karna padta.achanak se nida ki beti bahut bimar ho gayi kyunki uske pas ilaz ke liye kuch tha hi nahi nida bahut khud ko lachar mahsus kar rahi thi.kuch der baad akbar aya usne nida ko awaaz di kaafi kush tha aur batate huye kamre mein aya ke bhai ji ne aaj kuch paise diye hain aur dawat ko kaha hai tum mujhe paise de do.akbar ne dekha nida kuch bol nahi rahi apne beti ko bas apne sine se lagaya hai aur ankhein band hai jaise so rahi ho .akbar chhu kar bola nida
nida apni beti ke sath duniya se rukhsat ho gayi.



© All Rights Reserved