...

9 views

Asal Zindagi
Muskurate khubsurat chehre yaaro ke saath, gharwalo ke saath, bade likes, achche comments, masti majak, emojis bhi haste hue, whatsapp se Facebook, Facebook se insta, ye zindagi sach me itni khubsurat hai? ya hum sachai see bachte hue, kyunki jaise ni mobile Jeb me jata hai, aanko me chinta hai ki, kya me apni zindagi me kuch kar paungi? wo mobile gallery me padi meri purani pic mujhe samay ko bit-ta dikhane lagti hai, jaise samay bit-ta ja raha hai, aur me vahi pe ruka hua hu, thama hua hu, is tension ki barf me jamma hua hu, apne aanko me in sab se nikaal chati hu, aage badh ke apne bikhre sapno ko dagmagne se pehle sambalna chati hu , vo khushiyo ke rango se bhari meri whatsapp profile meri zin nahi hai, par ha vo ang me apni zindagi me utaar na chati hu, meri zindagi toh beraang hai par me duniya ko apna chehra hasti hi dikhaya hu, kahi galti se koyi dukh sukh chehre pe dikh na jaye shayad is liye har pic me apni itne filters lagata hu, ha kuch effects jo chehre ke dukh ko chupa dete hai,magar zoom karke mat dekhna, kyunki aankhe kabhi kuch chupa nati paathi hai, social media vaisi zindagi hai, jaise hjeena chahte hai, magar chahne se cheez sach ho nahi jaati hai, darasal hum apne dukh ko dikhane ki nahi chahte hai, kyunki humme dar hai ki, jinka majak hum soc haial media pe udathe hai, kahi humare emotions ka bhi vaise hi majak na bann jaye, isliye vanha har insaan khush nazar aatha hai, kahi ye jhuti khushi sach ka shrap na bann jaye, me kya kehta hu, me kanha jata hu, har cheez hum duniya ko dikhane chahte hai, meri zindagi me toh koyi gum hi nahi hai, ye chikh chikh ke hum logo ko samjhana chahte hai, taki kissi ko pata hi na chale, ki me toh zindagi ki race haarta ja raha hu, aankhe meri ro rahi hai, par phir bhi me muskurate hu, apne emotions ko dil me daba ke maarta jaa raha hu. Har din kuch hota hai, jisse me post karne se pehle ruk jati hu!! har din in sachai ke panno par apni jhuti khushi likh likh ke fadtha ja raha hu, ab bahuth dikawa hone lagi hai, god hai apni zindagi nko sabse khubsurat dhukane ki, dukh andhar hi andhar bastha jaa raha hai, magar phir bhi, fikhar hai toh bar zamane ki, ki zamane ko humme apne aap ko kaise dikhane hai, kahi humare saath ka koyi humse aage na nikhal jaye, isliye humme apni har achievement ko, duniya ko chikh chikh ke batana hai, hum social media ki zindagi aur apni asli zindagi me fasse hue ek aise parindey hai, jo Zameen se aasman me udathe hue, bahuth khush dikhte hai, magar asal me unke chehre ka dukh itni door se dikh nahi pata hai, usse pata hai uske par Kate hue hai, vo kabhi bhi gir sakta hai, par phir bhi, vo aasman me apne panke jelaye, apne aap ko hanao se ladtha dikhate hai, arey ab kon samjhaye inke ki social media ki zindagi me bahuth jyada fark hota hai, status lagane me, aur apna status banane me milo ka safar hota hai!
Social Media is not the heart of ice, it is only a part of life...
© gratitude for solitude