...

1 views

Rooh ki aawaaz!

kabhi kabhi na bas ek khayal aata hain! yaar kya hain ye sab kya hain ye zindagi?
kyuki jaisa hum chalte hain waisa to hota nahi,sab palak japkatehi bikhar jata hain..kai baar hum bus thak jate hain hmne koi jismani kam nahi kiya hota ,lekin phir bhi bas thak jate hain..is duniya se,duniya ke logo se....aaj mein sochti hun ki aakhir asal me mein hu kon?kyu aayi hu yahan?kya aap bhi yeh Janna nahi chahte?hum bas roz uthkar kam kiya jate hain lekin zindagi in sab se bahut zyada alag hain...Hame ye jaanana chahiye ki aakhir hamari rooh kya chahti hain! jab is zindagi mein Hamare hisab se kuch hota nahi na tab hame bada dard hota hain,especially mujhe to hota hain....lekin ek taraf mera bharosa is Duniya se bahut upar mere khuda par hain ki wo mujhe kabhi tutne nahi dega....hame bas un par bharosa karna sikh Lena chahiye kyuki duniya palat skti hain lekin wo kabhi bhi nahi!
aakhir mein suchna zarur ki aakhir hum is duniya mein hain to uski kuch to wajah zarur hain....

aur aap aise thoughts padhna pasand karte hain to plz like, and comment....
thank you.....🤍
© shiny soul