...

12 views

Love is blind
Ye story ek ladki Sonira aur uske pyaar Shaleen ke baare mein hai. Sonira bachpan se hi pyaar ke liye jee rahi thi wahi Shaleen ek befikr, dosto ke saath mauj-masti karne wala insaan tha, jiska life mein koi aim nahi tha sivaay pyaar ke. Pehli baar Sonira ne Shaleen ko apne ghar ke pass mobile shop pe dosto ke saath masti karte hue dekha tha. Sonira ko uska ye befikrapan accha nahi laga. Usne socha "y kaisa insaan hai jo sirf dosto ke chakkar me apni life kharab kar raha hai". Shaleen roz dosto k saath waha ata aur Sonira uske baare me ek awaara insaan ki soch bnati gayi. Shaleen ab Sonira ki hate list m top pe tha fir bhi Sonira ne use notice karna nahi choda. Sonira ne life me kabhi dosti nahi dekhi thi, khud se pyaar karna to jaise Sonira ko ata hi nahi tha, isliye wo Shaleen ko ek awaara insaan samajhne lagi thi. Ek din Sonira Shaleen se ek wedding me mili jha Shaleen apne friends ke saath aya hua tha. Us din usne ek alag hi Shaleen ko dekha. Shaleen dance floor par akele hi (bina apne dosto ke) mast magan hoke dance kar raha tha. Dance bhi ladko ka naagin dance nahi, proper dance. Sonira ko dance ka bhut shok tha par usko dance karna ata nahi tha ya ye keh dijiye ki uske andar ki sharam ne use kabhi dance karne nahi diya. Us din usne Shaleen se zindagi ko enjoy karna seekha tha, use samajh aya ki akele bhi life enjoy ki ja sakti hai, Kisi aur ko pyaar karne se pehle use khud se pyaar karna seekhna hoga. Sonira ke mann me dheere-dheere Shaleen ke liye jagah banne lagi thi. Par use ek baat bhut pareshaan kar rahi thi ki wo sirf Shaleen ka naam hi to janti hai, na uske ghar ka kuch pta hai, na kam ka, na parivaar ka pata hai, na karobaar ka. Use to Shaleen ka sir name tak nahi pata tha, ye sab to chodo use to ye tak nahi pata ki Shaleen single bhi hai ya nahi. In sab khayalo ke bawajood wo Shaleen ko day by day or jyada chahne lagi. Shaleen ab uske liye ek ajnabi jaroor tha par anjaan nhi raha tha. Usne Shaleen se kabhi baat nahi ki par usko lagta tha jaise wo Shaleen ko saalon se janti hai. Wo itna to samajh chuki thi ki Shaleen ka dil heera hai, wo wohi dil hai jisko wo na jaane kab se talaash rahi hai. Aur isliye Sonira Shaleen ke dil pe fida thi. Sonira ko Shaleen ki khoobsoorati, paise ya talent ka koi andaza nahi tha use bas uska dil pasand tha. Shaleen uske pyaar ke saath-saath uska lucky charm bhi tha. Jaise jaise time beeta Sonira ke pyaar ki pariksha pass ati gayi use Shaleen ke baare mein pata chalne laga. Jab usko pata chala Shaleen uski caste ka nahi hai, aur wo smoking and drinking bhi karta hai to Sonira ko bhut bura laga. Par use apne pyaar par pura bharosa tha or kha ki "main uski sab galat adate chutane me uski help karungi na ki use in choti cheezo ke liye chod dungi". In sab cheezo ka Sonira ke pyaar par koi asar nahi hua par uski pariksha yaha khatam nahi hui. Is baar baat thi Shaleen ke status ki. Jab Sonira ko pata chala Shaleen ek chota sa cook hai jo shadi aur functions me khana banata hai to jab Sonira ne use as a cook apne samne dekha to use Shaleen ke kam par sharam a gayi, aur wo pyaar ke is test me fail ho gayi. Sonira ab Shaleen ko puri tarah bhulane ka decision le chuki thi. Ye jante hue bhi ki Shaleen uska pyaar hi nahi uska luck bhi hai uska decision change nhi hua. Saal beette gaye ab Shaleen ne bhi un galiyon mein ana band kar diya tha. Sonira ki zindagi mein jaise sab kuch bikhar gaya tha. Uski zindagi mein har cheez mein usko bas failure hi mil raha tha. Jo bhi uske dil par dastak deta wo usme bas Shaleen ko hi dhoondhti. Sonira khud ko samjhati rahi ki wo Shaleen se pyaar nahi karti, uski galat adato ko dhaal bana ke use bhoolne ki koshish karti rahi par use sirf nakamyabi hi mili. Sonira ko apni galti samajh ane lagi thi use ahsas hone laga tha ki usne Shaleen se kitni galat wajah se muh mod liya tha. Use khud se nafrat hone lagi thi. Wo khud ko itna guilty maanne lagi thi ki usne khud se pyaar karne or pyaar paane ka haq hi cheen liya tha. Uski life ka bas ek hi aim reh gaya tha ki wo Shaleen se apni galti ki maafi mang paye. Par use to pata hi nahi tha Shaleen kha hai kis haal me h. Wo har roz darwaze pe nazar gadaye Shaleen ki raah takti rahi. Ek din uska intezaar khatam ho gaya Shaleen uski life me wapas a gya tha. Wo dono kafi ache dost ban gaye. Tabhi Sonira ko samajh aya ki jo usne stranger Shaleen ke baare me socha tha Shaleen bilkul waise hi insaan h, dilwala. Sonira ko apni galti sataye ja rahi thi aur usne himmat kar ke Shaleen ko apne dil ki baat btayi. usse door hone ka reason bataya aur usse maafi maangi. Tab use pta chala ki Shaleen bhi usse bhut pyaar karta tha. Shaleen ne kaha "jab mujhe pata chala ki tum mere profession se khush nahi ho or mere is kam ki wajah se tumhe mujhe accept karne me sharam ati hai to maine khud ko tum par force nahi kiya. M nhi chahta tha meri wajah se kabhi bhi tumhara sir jhuke isliye m kuch chod ke khud ko tumhare layak banane chala gaya tha." Y sun ke Sonira ki ankh me Ansuoo a gaye aur use ahsas hua ki jo insaan uski khushi ke liye usse door ho sakta hai uske pyaar ke liye wo kuch bhi kar sakta hai. Us din Sonira ko apni soch pe bhut sharam ayi usne Shaleen se apni galti ki maafi maang. Shaleen ne jhat se gale lagakar use maaf kar diya or kha "agar tum na hoti to aj main ek kaabil insaan kabhi nahi ban pata". Shaleen ne apni pocket se ring nikali or use shadi ke liye propose kiya. Is baar Sonira ne bina kuch soche samjhe Shaleen ko "Ha" kh diya and they lived happily ever after.

Moral- Pyaar mein kabhi bhi kisi ke colour, religion, status, caste ko itni importance mat do ki ap kisi acche insaan ko apni life se kho do. Pyaar badi kismat se milta hai uski kadar karo in choti choti baaton ka asar apne pyaar par mat padne do. Pyaar dil se hota hai, kisi ki rooh se hota hai tabhi to khete hai LOVE IS BLIND.