...

7 views

My phone
Hum jab morning me soke uthte hai toh hum sabse pehle apna phone dekhte hai.
phone me apne messages check karte hai ya koi humara someon special hota hai uske status message dekhte hai.

humari morning uthne ke sath hi humare apne phone se hoti hai ajkal phone humari life ka ek important part ban gaya hai.

agar jab kbhi galti se humara apna phone kharab ho jata hai ya phone me choti si problem aa jaati hai toh hum unhappy ho jate hai.

kuch kaam karne ka humara man nahi karta ya tension si hone lagti hai aisa lagne lgta hai jaise mano humare body part ka koi part humse alag ho gya ho.
aur jab hum kisi or ko phone use karte dekhte hai toh hum apne phone ko miss karte hai ya hume acha nahi lagta.

jab hum apna phone shop par thik hone dete hai tab agar shopkeeper phone ko thik hone me der karta hai.

toh hum shopkeeper ko jaldi phone thik karne ke liye bolte hai use time par phone ko thik karne ke liye kehte hai jab humara apna phone thik ho jata hai hum bahut jyda happy ho jate hai.

mano hum phone ko pake sukoon mil gaya ho hum apne phone ka use social media ko use karne office work ke liye contact karne ke liye ek dusre se bat krne ke liye karte hai.

hum ye khe sakte hai ye humari life ek important part ban chuka hai hume apne phone ka use kar ke khusi milti hai.

jab hum kisi or ka phone use karte hai wo phone humari apni family friend me se kisi ka kyu na ho par hume apne phone ko use karne me acha feel hota hai..
© reemahayat